angDaiyan
aaj kī raat bhī
dar koī vā nahīñ
hai agar dar koī
jis ke khulne kā imkān ho
āsmāñ kī taraf haath nazreñ sabhī
par koī vā nahīñ
sāmne vo jo dar
vo jo darvāze kā qufl
khulne kā imkān hai muntazir
jis meñ añgḌā.iyāñ TūTtī haiñ thakan
......... muddatoñ kī thakāvaT se akḌī huī
haath akḌe hue haiñ jo nāpaid dar kī taraf
haDDiyāñ un kī chaTḳhī nahīñ haiñ abhī
un kī añgḌā.iyāñ haiñ idhar muntazir
aaj ki raat bhi
dar koi wa nahin
hai agar dar koi
jis ke khulne ka imkan ho
aasman ki taraf hath nazren sabhi
par koi wa nahin
samne wo jo dar
wo jo darwaze ka qufl
khulne ka imkan hai muntazir
jis mein angDaiyan TuTti hain thakan
muddaton ki thakawaT se akDi hui
hath akDe hue hain jo napaid dar ki taraf
haDDiyan un ki chaTKHi nahin hain abhi
un ki angDaiyan hain idhar muntazir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.