anguThi
chhupā.ūñ kyoñ na dil meñ ḳhātam-e-gauhar nigār us kī
yahī le de ke mere paas hai ik yādgār us kī
ye tanhā.ī meñ mere lab tak aakar muskurātī hai
aur apnī mālika kī tarah dil ko gudgudātī hai
qalam ke saath mere haath meñ har-vaqt rahtī hai
aur us ke dast-e-rangīñ ke fasāne mujh se kahtī hai
tilā.ī ungliyoñ kā jab mujhe qissa sunātī hai
tasavvur meñ sitāroñ ke se paikar khīñch laatī hai
mirī salmā ko is ne shaad aur nāshād dekhā hai
gahe masrūr gaahe mā.il-e-fariyād dekhā hai
ise mā'lūm haiñ achchhī tarah betābiyāñ us kī
nahīñ poshīda is kī aañkh se be-ḳhvābiyāñ us kī
shab-e-tanhā.ī meñ is ne use bedār paayā hai
aur aksar dīda-e-sarshār ko ḳhūñ-bār paayā hai
ise mā'lūm hai vo kis tarah maġhmūm rahtī thī
kisī ke ġham meñ lutf-e-zīst se mahrūm rahtī thī
mirā ḳhat paḌh ke vo kis naaz se masrūr hotī thī
phir apnī bebasī par kis tarah ranjūr hotī thī
ye shāhid hai ki us kī shām-e-ġham kyūñkar guzartī thī
ye shāhid hai ki vo ro ro ke kyūñkar sub.h kartī thī
vo jab dil thaam letī thī hujūm-e-ġham se ghabrā kar
to ye kartī thī us kī ġham-gusārī us ke paas aakar
ise mā'lūm hai jo dard thā us paak siine meñ
basī haiñ us ke dil kī dhaḌkaneñ is ke nagīne meñ
pahuñchtī haiñ shuā.eñ is kī jis dam chashm-e-hairāñ tak
tasavvur mujh ko le uḌtā hai salmā ke shabistāñ tak
jahāñ salmā ke aur mere sivā hotā nahīñ koī
añgūThī khoī jaatī hai magar khotā nahīñ koī
chhupaun kyon na dil mein KHatam-e-gauhar nigar us ki
yahi le de ke mere pas hai ek yaadgar us ki
ye tanhai mein mere lab tak aakar muskuraati hai
aur apni malika ki tarah dil ko gudgudati hai
qalam ke sath mere hath mein har-waqt rahti hai
aur us ke dast-e-rangin ke fasane mujh se kahti hai
tilai ungliyon ka jab mujhe qissa sunati hai
tasawwur mein sitaron ke se paikar khinch lati hai
meri salma ko is ne shad aur nashad dekha hai
gahe masrur gahe mail-e-fariyaad dekha hai
ise ma'lum hain achchhi tarah betabiyan us ki
nahin poshida is ki aankh se be-KHwabiyan us ki
shab-e-tanhai mein is ne use bedar paya hai
aur aksar dida-e-sarshaar ko KHun-bar paya hai
ise ma'lum hai wo kis tarah maghmum rahti thi
kisi ke gham mein lutf-e-zist se mahrum rahti thi
mera KHat paDh ke wo kis naz se masrur hoti thi
phir apni bebasi par kis tarah ranjur hoti thi
ye shahid hai ki us ki sham-e-gham kyunkar guzarti thi
ye shahid hai ki wo ro ro ke kyunkar subh karti thi
wo jab dil tham leti thi hujum-e-gham se ghabra kar
to ye karti thi us ki gham-gusari us ke pas aakar
ise ma'lum hai jo dard tha us pak sine mein
basi hain us ke dil ki dhaDkanen is ke nagine mein
pahunchti hain shuaen is ki jis dam chashm-e-hairan tak
tasawwur mujh ko le uDta hai salma ke shabistan tak
jahan salma ke aur mere siwa hota nahin koi
anguThi khoi jati hai magar khota nahin koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.