anjam qissa-go ka
purānī baat hai
lekin ye anhonī sī lagtī hai
vo shab va.ade kī shab thī
gaañv kī chaupāl puurī bhar chukī thī
taaza huqqe har taraf rakkhe hue the
qissa-go ne ek shab pahle kahā thā
sāhibo tum apnī nīndeñ bistaraoñ par chhoḌ kar aanā
maiñ kal kī shab tumheñ apne salaf kā āḳhirī qissa sunā.ūñgā
jigar ko thaam kar kal raat tum chaupāl par aanā
vo shab va.ade kī shab thī
gaañv kī chaupāl puurī bhar chukī thī
raat gahrī ho chalī thī
huqqe ThanDe ho ga.e the lālTeneñ bujh ga.ī thiiñ
gaañv ke sab mard qissa-go kī raah takte thak ga.e the
duur tārīkī meñ gīdaḌ aur kutte mil ke nauha kar rahe the
daf.atan bijlī sī kaundī
raushnī meñ sab ne dekhā
qissa-go bargad tale behis paḌā thā
us kī āñkheñ āḳhirī qissa sunāne kī taḌap meñ jāgtī thiiñ
par zabāñ us kī kaTī thī
raat vo bas āḳhirī thī
qissa-go kā an-kahā apne salaf kā
āḳhirī qissa laboñ par kāñptā thā
purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai
wo shab wade ki shab thi
ganw ki chaupal puri bhar chuki thi
taza huqqe har taraf rakkhe hue the
qissa-go ne ek shab pahle kaha tha
sahibo tum apni ninden bistaraon par chhoD kar aana
main kal ki shab tumhein apne salaf ka aaKHiri qissa sunaunga
jigar ko tham kar kal raat tum chaupal par aana
wo shab wade ki shab thi
ganw ki chaupal puri bhar chuki thi
raat gahri ho chali thi
huqqe ThanDe ho gae the lalTenen bujh gai thin
ganw ke sab mard qissa-go ki rah takte thak gae the
dur tariki mein gidaD aur kutte mil ke nauha kar rahe the
dafatan bijli si kaundi
raushni mein sab ne dekha
qissa-go bargad tale behis paDa tha
us ki aankhen aaKHiri qissa sunane ki taDap mein jagti thin
par zaban us ki kaTi thi
raat wo bas aaKHiri thi
qissa-go ka an-kaha apne salaf ka
aaKHiri qissa labon par kanpta tha
- Book : Sang-ge-Sada (Pg. 84)
- Author : Zubair Razvi
- Publication : Zehne Jadid, New Delhi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.