anjaan dukh
blood moon kī raat ko
merī āñkhoñ meñ bhī
ḳhuun utrā thā
dard kī shiddat kuchh ziyāda thī
soch rahā thā
aisā kyoñ hai
rishta kyā hai
mīloñ duur jab chāñd kī rangat ḳhuun kī mānind surḳh ho jaa.e
dhartī par merī āñkhoñ meñ laalī kyūñkar
aa jaatī hai
dhartī par mere siine meñ dard kī shiddat baḌh jaatī hai
chāñd kā dukh tanhā.ī hogā
merā dukh lekin kuchh aur hai
jis se dil ghabrā jaatā hai
merā dukh tanhā.ī nahīñ hai
is dhartī par
gar maiñ chāhūñ
ik be-kār shaġhl ko le kar
jiine kā be-kār bahāna
DhūñD hī lūñgā
gar maiñ chāhūñ
duniyā ke is shor meñ ḳhud ko
logoñ kī is bhiiḌ meñ ḳhud ko
kho saktā huuñ
lekin aisā karne se is dard kī shiddat
kam hogī kyā
chāñd kā dukh tanhā.ī hogā
merā dukh na jaane kyā hai
blood moon ki raat ko
meri aankhon mein bhi
KHun utra tha
dard ki shiddat kuchh ziyaada thi
soch raha tha
aisa kyon hai
rishta kya hai
milon dur jab chand ki rangat KHun ki manind surKH ho jae
dharti par meri aankhon mein lali kyunkar
aa jati hai
dharti par mere sine mein dard ki shiddat baDh jati hai
chand ka dukh tanhai hoga
mera dukh lekin kuchh aur hai
jis se dil ghabra jata hai
mera dukh tanhai nahin hai
is dharti par
gar main chahun
ek be-kar shaghl ko le kar
jine ka be-kar bahana
DhunD hi lunga
gar main chahun
duniya ke is shor mein KHud ko
logon ki is bhiD mein KHud ko
kho sakta hun
lekin aisa karne se is dard ki shiddat
kam hogi kya
chand ka dukh tanhai hoga
mera dukh na jaane kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.