apna apna shahr
hamāre diloñ meñ kuchh Dūbtā jā rahā hai
mere aur tumhāre
vo kyā hai
kyā ham us ke bhed pā sakte haiñ
kohre kī sard chādar ne
jangal ko apne saa.e meñ le liyā hai
koī āvāz nahīñ
sirf ek gahrī mahak
koī mere dil meñ lobān kī dhūnī detā hai
aur āñkheñ jalne lagtī haiñ
ham dhāre ke muqābil nahīñ tair sakte
aur dhāre ke saath bhī nahīñ
ki mujh meñ ek samundar hai
aur tum meñ dūsrā
tum mere liye kashtī nahīñ banā sake
aur maiñ ne tumhārī kashtī kināre se khol dī
ab koī rāsta nahīñ
ham nafrat ke liye javāz talāsh kar lete haiñ
aur is tarah apnī shikast ko taslīm karte haiñ
aur Duub jaate haiñ
apne apne samundar meñ
hamare dilon mein kuchh Dubta ja raha hai
mere aur tumhaare
wo kya hai
kya hum us ke bhed pa sakte hain
kohre ki sard chadar ne
jangal ko apne sae mein le liya hai
koi aawaz nahin
sirf ek gahri mahak
koi mere dil mein loban ki dhuni deta hai
aur aankhen jalne lagti hain
hum dhaare ke muqabil nahin tair sakte
aur dhaare ke sath bhi nahin
ki mujh mein ek samundar hai
aur tum mein dusra
tum mere liye kashti nahin bana sake
aur main ne tumhaari kashti kinare se khol di
ab koi rasta nahin
hum nafrat ke liye jawaz talash kar lete hain
aur is tarah apni shikast ko taslim karte hain
aur Dub jate hain
apne apne samundar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.