apna ghar
sūraj chāñd sitāre
fazā kī qaus meñ Tañge
hare motī javāhar panne
āsmānoñ kī lā-mahdūd ḳhalā meñ chamaktī damaktī devtāoñ kī mehrbān nuurī āñkheñ
vahīñ kahīñ
unhīñ ke mābain hai
merā ghar
mere abbā kī havelī
jis ke āñgan ke ḳhāmosh be-āvāz naġhme
ziina ziina utar aa.e dhartī par aur
aa jame
mere dil ko ḳhālī aur vīrāñ pā kar aur
gahrī aTuuT samādhī meñ ram kar yugoñ vahīñ baiThe rahe
merī āñkhoñ kā nūr-o-surūr
mere kānoñ kā sangīt
mere hoñToñ par machaltī dhuneñ
unhīñ kī tausī.a haiñ
masarrat ke nashe meñ
mahak mahak uThte haiñ mere qalb-o-jigar aur
chahak chahak kar gungunāte haiñ
apne ābā.ī giit
jo mafhūm se māvarā haiñ
jin meñ dhun to hai
shabd nahīñ
in gūñge naġhmoñ kā jaadū
khol detā hai vo dayār
jin ke pīchhe chhupā merā mahbūb
tab se merā muntazir hai
jab se maiñ us se ruuTh kar zindagī kī talāsh-e-bejā meñ is dhartī par chalā aaya thā
phir kisī din
kisī ek mubārak saa.at meñ jo us ne pahle hī se nirdhārit kar rakhī hai
janam-janmāntar kī us kī samādhī TūTtī hai aur vo āñkheñ kholtā hai
muskurā kar merī āñkhoñ meñ jhāñktā hai
pahchān liyā na ham ne tujhe bhagoḌe
chal ab ghar chaleñ
suraj chand sitare
faza ki qaus mein Tange
hare moti jawahar panne
aasmanon ki la-mahdud KHala mein chamakti damakti dewtaon ki mehrban nuri aankhen
wahin kahin
unhin ke mabain hai
mera ghar
mere abba ki haweli
jis ke aangan ke KHamosh be-awaz naghme
zina zina utar aae dharti par aur
aa jame
mere dil ko KHali aur viran pa kar aur
gahri aTuT samadhi mein ram kar yugon wahin baiThe rahe
meri aankhon ka nur-o-surur
mere kanon ka sangit
mere honTon par machalti dhunen
unhin ki tausia hain
masarrat ke nashe mein
mahak mahak uThte hain mere qalb-o-jigar aur
chahak chahak kar gungunate hain
apne aabai git
jo mafhum se mawara hain
jin mein dhun to hai
shabd nahin
in gunge naghmon ka jadu
khol deta hai wo dayar
jin ke pichhe chhupa mera mahbub
tab se mera muntazir hai
jab se main us se ruTh kar zindagi ki talash-e-beja mein is dharti par chala aaya tha
phir kisi din
kisi ek mubarak saat mein jo us ne pahle hi se nirdhaarit kar rakhi hai
janam-janmantar ki us ki samadhi TuTti hai aur wo aankhen kholta hai
muskura kar meri aankhon mein jhankta hai
pahchan liya na hum ne tujhe bhagoDe
chal ab ghar chalen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.