apna saya
raushnī ke khambe ke nīche
maiñ ne apne sar ko apne qadmoñ meñ ulajhte dekhā
sirf añdhere hī
aadmī ko pareshān nahīñ karte
tez raushnī ke nīche bhī
agar aadmī sākit khaḌā rahe
to us kā sar
us kī Tāñgoñ kī salāḳhoñ se āzād nahīñ ho saktā
maiñ ne ek qadam baḌhāyā
merā sar pairoñ kī qaid se chhuT gayā
maiñ qadam uThātā rahā
merā qad baḌhtā rahā
raushni ke khambe ke niche
main ne apne sar ko apne qadmon mein ulajhte dekha
sirf andhere hi
aadmi ko pareshan nahin karte
tez raushni ke niche bhi
agar aadmi sakit khaDa rahe
to us ka sar
us ki Tangon ki salaKHon se aazad nahin ho sakta
main ne ek qadam baDhaya
mera sar pairon ki qaid se chhuT gaya
main qadam uThata raha
mera qad baDhta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.