apni pahchan
dānishvarī saarī aqloñ kā ishtihār ek taraf aur
jazboñ kā bāzār ek taraf
logoñ ko pahchānñe un ko jānñe ke liye kyā ab
academy qaa.em hogī
ham
sab ko achchhā kahne vaale log
hamārī apnī pahchān jaane kis ke havāle se hogī
hamārī zard chehroñ se
aur hairān āñkhoñ se ki tamāshā hamārī āñkhoñ ke sāmne sadme kī
tarah ho rahā hai
aur ham kuchh kah nahīñ sakte
suno ye man-made society hai
jo tumhāre mardoñ ke ahkām haiñ un par chalo
ek mard tumheñ zinda dafn karnā chāhtā hai
ek tumheñ āsmān kī bulandiyoñ tak le jaanā chāhtā hai
ek tumheñ āzād dekhnā chāhtā hai
ek tumheñ sīdhā rāsta dikhānā chāhtā hai
ek tumheñ apnī mohabbat se maġhlūb karnā chāhtā hai
vaise bhī ġhulām aaqā kī baat ko Taal nahīñ saktā
vo tum se mohabbat kartā hai tumhārī izzat nahīñ kar saktā
izzat sañbhālnā hai to ghar meñ baiTho
mard ke sāmne auratoñ kī āzādī kī taqrīreñ karne ke ba.ad
jab tum us ke jazbe meñ bañdhogī
to tum ek aur ġhulāmī ek aur zillat meñ jakaḌ dī jāogī
tumhārī pahchān kis havāle hogī
ġhulām aur aaqā ke havāle se
bas phaḌ.phaḌāte raho bebas panchhī kī tarah
ki jis ko parvāz kī raah dikhā kar
par kaaT diye ga.e hoñ
danishwari sari aqlon ka ishtihaar ek taraf aur
jazbon ka bazar ek taraf
logon ko pahchanne un ko jaanne ke liye kya ab
academy qaem hogi
hum
sab ko achchha kahne wale log
hamari apni pahchan jaane kis ke hawale se hogi
hamari zard chehron se
aur hairan aankhon se ki tamasha hamari aankhon ke samne sadme ki
tarah ho raha hai
aur hum kuchh kah nahin sakte
suno ye man-made society hai
jo tumhaare mardon ke ahkaam hain un par chalo
ek mard tumhein zinda dafn karna chahta hai
ek tumhein aasman ki bulandiyon tak le jaana chahta hai
ek tumhein aazad dekhna chahta hai
ek tumhein sidha rasta dikhana chahta hai
ek tumhein apni mohabbat se maghlub karna chahta hai
waise bhi ghulam aaqa ki baat ko Tal nahin sakta
wo tum se mohabbat karta hai tumhaari izzat nahin kar sakta
izzat sanbhaalna hai to ghar mein baiTho
mard ke samne auraton ki aazadi ki taqriren karne ke baad
jab tum us ke jazbe mein bandhogi
to tum ek aur ghulami ek aur zillat mein jakaD di jaogi
tumhaari pahchan kis hawale hogi
ghulam aur aaqa ke hawale se
bas phaDphaDate raho bebas panchhi ki tarah
ki jis ko parwaz ki rah dikha kar
par kaT diye gae hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.