apni pahchan
hāthī dekh ke chyūñTī bolī kitnā hai be-Daul badan
chūhe ne bhī uuñT kī lambā.ī ko samjhā pāgal-pan
gājar shaljam aur muulī ne kahā ki chaupaT hai baiñgan
dūsroñ ke baare meñ yuuñ to sab kuchh kahnā hai āsān
sab se ziyāda mushkil hai duniyā meñ ḳhud apnī pahchān
kelā aur amrūd ye bole aam to hai garmī kā phal
tauba tauba ho jā.eñge ham is mausam meñ pāgal
līchī bolī dekho kitnā be-Dhañga sā hai kaT.hal
is ko khāne vaalā hogā aisā hī koī nādān
sab se ziyāda mushkil hai duniyā meñ ḳhud apnī pahchān
jin kī sifat hai aage baḌhnā rahte vo ḳhāmosh
karte haiñ vo baat vazn kī nahīñ dikhāte josh
rakhte haiñ jazbāt pe qaabū khote nahīñ vo hosh
nahīñ chalāte uḌte bādal par lafzoñ ke tīr-o-kamān
sab se ziyāda mushkil hai duniyā meñ ḳhud apnī pahchān
hathi dekh ke chyunTi boli kitna hai be-Daul badan
chuhe ne bhi unT ki lambai ko samjha pagal-pan
gajar shaljam aur muli ne kaha ki chaupaT hai baingan
dusron ke bare mein yun to sab kuchh kahna hai aasan
sab se ziyaada mushkil hai duniya mein KHud apni pahchan
kela aur amrud ye bole aam to hai garmi ka phal
tauba tauba ho jaenge hum is mausam mein pagal
lichi boli dekho kitna be-Dhanga sa hai kaThal
is ko khane wala hoga aisa hi koi nadan
sab se ziyaada mushkil hai duniya mein KHud apni pahchan
jin ki sifat hai aage baDhna rahte wo KHamosh
karte hain wo baat wazn ki nahin dikhate josh
rakhte hain jazbaat pe qabu khote nahin wo hosh
nahin chalate uDte baadal par lafzon ke tir-o-kaman
sab se ziyaada mushkil hai duniya mein KHud apni pahchan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.