apni talash mein nikle
bahut gumān hai apne vajūd kā mujh ko
magar koī bhī haqīqat ayaañ nahīñ mujh par
ḳhizāñ-rasīda kisī barg-e-nā-tavāñ kī tarah
gumān ye ki safar mere iḳhtiyār meñ hai
mujhe to ye bhī nahīñ ilm kyā hai merī zaat
maiñ jis ko DhūñDh rahā huuñ vo kaun hai kyā hai
vo chāhtā hai use DhūñDh luuñ agar maiñ bhī
koī nishān koī raushnī to lāzim hai
to is haqīqat-e-maḳhfī ko jānñe ke liye
chalo ḳhudā se koī baat kar ke dekhte haiñ
agar ye parda-nashīnī hī baaqī rakhnī hai
agar talāsh kā ye imtihān jaarī hai
to mere dīda-e-shab ke sukūn kī ḳhātir
atā kare koī hikmat koī hunar aisā
ki jab maiñ jāgūñ
to as.hāb-e-kahf kī mānind
na koī parda na ib.hām ho mire aage
vo vaqt aa.e ki mujh se vo zaat khul jaa.e
mire nasīb se ik āgahī kā daur mile
mire vajūd se ye kā.enāt khul jaa.e
chalo usī se pata us kā pūchh lete haiñ
chalo ḳhudā se koī baat kar ke dekhte haiñ
bahut guman hai apne wajud ka mujh ko
magar koi bhi haqiqat ayan nahin mujh par
KHizan-rasida kisi barg-e-na-tawan ki tarah
guman ye ki safar mere iKHtiyar mein hai
mujhe to ye bhi nahin ilm kya hai meri zat
main jis ko DhunDh raha hun wo kaun hai kya hai
wo chahta hai use DhunDh lun agar main bhi
koi nishan koi raushni to lazim hai
to is haqiqat-e-maKHfi ko jaanne ke liye
chalo KHuda se koi baat kar ke dekhte hain
agar ye parda-nashini hi baqi rakhni hai
agar talash ka ye imtihan jari hai
to mere dida-e-shab ke sukun ki KHatir
ata kare koi hikmat koi hunar aisa
ki jab main jagun
to ashab-e-kahf ki manind
na koi parda na ibham ho mere aage
wo waqt aae ki mujh se wo zat khul jae
mere nasib se ek aagahi ka daur mile
mere wajud se ye kaenat khul jae
chalo usi se pata us ka puchh lete hain
chalo KHuda se koi baat kar ke dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.