apotheosis
hameñ batāyā gayā hai
sard qahqahoñ ke āhanī jumūd se
shumālī mirrīḳh par na.e sāhil banā.e jā.eñge
nsibatan kam sanjīda laḌkiyāñ
hamārī mahbūbā.eñ nahīñ ban saktīñ
alberta ke landscape meñ
windmills ke chakrāte saa.e
tulips kī āñkhoñ se barf haTā.eñge
ibādat-gāh kī dīvāroñ par kanda
ḳhudā ke farmān par phuul rakhne ke evaz
vo ham se bad-zan nahīñ hogā
daffodils ke haath accordion bajā.eñge
jin se phūTtī thakī haarī mausīqiyat
strēt light kī būḌhī raushnī taan kar so jā.egī
washington d-c meñ cherī ke daraḳhtoñ par
na.e saal ke ḳhvāb ugaa.e jā.eñge
sāgāno ke sabz bāñsoñ se
vailen ke taar banā.e jā.eñge jin par
red indian maaoñ ke sīnoñ se pighaltī
niilī bad-duā.eñ bajā.ī jā.eñgī
javāñ-marg hasīnāoñ kī gol siskiyāñ
shikasta piano kī darāḌoñ se
murda gītoñ ke fingerprints udheḌ leñgī
zañg-ālūd khiḌkī ke maile shīshoñ se
kāñptī uñgliyoñ kī nuqra.ī uljhaneñ
adhūrī nazmoñ ke lāshe khurach leñgī
is se pahle ki ham ḳhauf-zada hoñ
ham se pahle taḳhlīq kī jaane vaalī
hamārī mahbūbāoñ ke jismānī irtiqā se
jism hoñToñ par taqsīm kiye jā.eñge
barf-zada parinde hameñ dekh pā.eñge
hamāre gunāh muqaddas haiñ
anjān doshīza kī farmā.ish par likhe ga.e novel kī tarah
hamein bataya gaya hai
sard qahqahon ke aahani jumud se
shumali mirriKH par nae sahil banae jaenge
nsibatan kam sanjida laDkiyan
hamari mahbubaen nahin ban saktin
alberta ke landscape mein
windmills ke chakraate sae
tulips ki aankhon se barf haTaenge
ibaadat-gah ki diwaron par kanda
KHuda ke farman par phul rakhne ke ewaz
wo hum se bad-zan nahin hoga
daffodils ke hath accordion bajaenge
jin se phuTti thaki haari mausiqiyat
street light ki buDhi raushni tan kar so jaegi
washington d-c mein cheri ke daraKHton par
nae sal ke KHwab ugae jaenge
sagano ke sabz banson se
wailen ke tar banae jaenge jin par
red indian maon ke sinon se pighalti
nili bad-duaen bajai jaengi
jawan-marg hasinaon ki gol siskiyan
shikasta piano ki daraDon se
murda giton ke fingerprints udheD lengi
zang-alud khiDki ke maile shishon se
kanpti ungliyon ki nuqrai uljhanen
adhuri nazmon ke lashe khurach lengi
is se pahle ki hum KHauf-zada hon
hum se pahle taKHliq ki jaane wali
hamari mahbubaon ke jismani irtiqa se
jism honTon par taqsim kiye jaenge
barf-zada parinde hamein dekh paenge
hamare gunah muqaddas hain
anjaan doshiza ki farmaish par likhe gae nowel ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.