aql-mand shikari
gaañv meñ sher kā ik shikārī bhī thā
khātā thā dasht kī vo hamesha havā
sher ko us ne qabze meñ ik din kiyā
shaam hotī ga.ī baḌh gayā dhuñdalkā
bakriyoñ ko bhī vo pāltā thā sadā
ghaas bhī dasht se saath vo laatā thā
ghaas aur bakrī bhī us ke hamrāh the
sher ke saath dekho ye donoñ chale
raah meñ un kī pul ek haa.il huā
dhuñdalkā gahrā hone lagā shaam kā
pul ke rakhvāle ne us ko rokā kahā
paar tum pul ko kar sakte ho barmalā
sirf ik chiiz ko saath le jāoge
apnī manzil ko phir dekh lo pāoge
tum jo chāho to vāpas bhī aa sakte ho
ek shai saath apne bhī lā sakte ho
soch meñ paḌ gayā ab shikārī bahut
shart thī vāqa.ī aaj bhārī bahut
ghaas ko saath le jaanā mushkil hī thā
kyuuñ ki ḳhud sher bakrī ko khā jā.egā
haañ agar sher ko saath le jā.ūñgā
bakrī chāra banā Dālegī ghaas kā
kashmakash meñ shikārī abhī paḌ gayā
kaise hal hogā hai ye baḌā mas.ala
ab use kuchh samajh meñ to aayā nahīñ
sochte sochte jhuk ga.ī thī jabīñ
ek tarkīb āḳhir ko sūjhī use
pul se guzrā vo ab bachcho bakrī liye
paar bakrī ne ai bachcho pul jo kiyā
ghaas ko sher bas sūñgh kar rah gayā
aayā vāpas palaT kar shikārī abhī
us kī āñkhoñ meñ bachcho chamak jaag uThī
is taraf sher aur us taraf bakrī thī
ghaas le jaane kī baarī ab aa ga.ī
ghaas kā gaTThā saath apne vo le gayā
sher bas muñh shikārī kā taktā rahā
ghaas ko bakrī ke paas us ne rakkhā
aur bakrī ko ḳhud us ne vāpas liyā
is taraf ghaas kā sirf gaThā rahā
kyuuñ ki ḳhatra milan sher o bakrī kā thā
is liye sher ko saath le kar chalā
sher ko ghaas ke paas chhoḌā gayā
sochiye ghaas ko sher khā.egā kyā
ghaas ko sher bas sūñgh kar rah gayā
ab shikārī chalā bakrī laane ko saath
ab ke bakrī kī rassī pe thā us kā haath
ab vo bakrī ke hamrāh aa hī gayā
sher dil meñ hī ḳhud ġhurrātā rahā
ek jānib thī bakrī to ik samt sher
kī nahīñ ab shikārī ne jaane meñ der
ghaas kā gaThā sar par shikārī ke thā
gaañv kā apne ab us ne rasta liyā
yuuñ shikārī ne gutthī ko suljhā liyā
un ke jaane kā bhī mas.ala hal huā
ganw mein sher ka ek shikari bhi tha
khata tha dasht ki wo hamesha hawa
sher ko us ne qabze mein ek din kiya
sham hoti gai baDh gaya dhundalka
bakriyon ko bhi wo palta tha sada
ghas bhi dasht se sath wo lata tha
ghas aur bakri bhi us ke hamrah the
sher ke sath dekho ye donon chale
rah mein un ki pul ek hail hua
dhundalka gahra hone laga sham ka
pul ke rakhwale ne us ko roka kaha
par tum pul ko kar sakte ho barmala
sirf ek chiz ko sath le jaoge
apni manzil ko phir dekh lo paoge
tum jo chaho to wapas bhi aa sakte ho
ek shai sath apne bhi la sakte ho
soch mein paD gaya ab shikari bahut
shart thi waqai aaj bhaari bahut
ghas ko sath le jaana mushkil hi tha
kyun ki KHud sher bakri ko kha jaega
han agar sher ko sath le jaunga
bakri chaara bana Dalegi ghas ka
kashmakash mein shikari abhi paD gaya
kaise hal hoga hai ye baDa masala
ab use kuchh samajh mein to aaya nahin
sochte sochte jhuk gai thi jabin
ek tarkib aaKHir ko sujhi use
pul se guzra wo ab bachcho bakri liye
par bakri ne ai bachcho pul jo kiya
ghas ko sher bas sungh kar rah gaya
aaya wapas palaT kar shikari abhi
us ki aankhon mein bachcho chamak jag uThi
is taraf sher aur us taraf bakri thi
ghas le jaane ki bari ab aa gai
ghas ka gaTTha sath apne wo le gaya
sher bas munh shikari ka takta raha
ghas ko bakri ke pas us ne rakkha
aur bakri ko KHud us ne wapas liya
is taraf ghas ka sirf gaTha raha
kyun ki KHatra milan sher o bakri ka tha
is liye sher ko sath le kar chala
sher ko ghas ke pas chhoDa gaya
sochiye ghas ko sher khaega kya
ghas ko sher bas sungh kar rah gaya
ab shikari chala bakri lane ko sath
ab ke bakri ki rassi pe tha us ka hath
ab wo bakri ke hamrah aa hi gaya
sher dil mein hi KHud ghurraata raha
ek jaanib thi bakri to ek samt sher
ki nahin ab shikari ne jaane mein der
ghas ka gaTha sar par shikari ke tha
ganw ka apne ab us ne rasta liya
yun shikari ne gutthi ko suljha liya
un ke jaane ka bhi masala hal hua
- Book : Gagar me.n Sagar (Pg. 25)
- Author : Hafiz Karnatki
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.