aql se leta na kaam agar
Topiyoñ kī ek gaThrī bāñdh kar
kar liyā ek shaḳhs ne azm-e-safar
rāsta itnā na thā dushvār-tar
thak gayā vo raah meñ phir bhī magar
peḌ dekhā rāste meñ sāya-dār
saañs lenā chāhā us ne leT kar
saath hī bahtī thī ik nadī vahāñ
paanī jis meñ thā ravāñ shaffāf-tar
leTte hī niiñd us ko aa ga.ī
maal se apne huā vo be-ḳhabar
peḌ par bandar the kuchh baiThe hue
jab paḌī gaThrī pe un sab kī nazar
dhīre dhīre nīche utre aur vo
le ga.e gaThrī uThā kar peḌ par
khol kar gaThrī pahan liiñ Topiyāñ
jach rahe the Topiyoñ meñ jānvar
shor karne lag ga.e bandar bahut
jaag uThā jo so rahā thā be-ḳhabar
us ne jab gaThrī na dekhī ās-pās
dil meñ ye sochā ga.ī gaThrī kidhar
peḌ par us ne jo dekhā ġhaur se
aa.e bandar Topiyāñ pahne nazar
Topiyāñ paane kī koshish us ne kī
mil na paayā jab use koī samar
apne sar se apnī Topī ko utaar
pheñk dī ġhusse meñ us ne ghaas par
sab ne pheñkīñ apnī apnī Topiyāñ
bandaroñ par ye huā us kā asar
jam.a kar liiñ us ne apnī Topiyāñ
sū-e-manzil bāñdh lī phir us ne kamar
Topiyāñ kaise 'ufuq' miltīñ use
aql se letā na kaam apnī agar
Topiyon ki ek gaThri bandh kar
kar liya ek shaKHs ne azm-e-safar
rasta itna na tha dushwar-tar
thak gaya wo rah mein phir bhi magar
peD dekha raste mein saya-dar
sans lena chaha us ne leT kar
sath hi bahti thi ek nadi wahan
pani jis mein tha rawan shaffaf-tar
leTte hi nind us ko aa gai
mal se apne hua wo be-KHabar
peD par bandar the kuchh baiThe hue
jab paDi gaThri pe un sab ki nazar
dhire dhire niche utre aur wo
le gae gaThri uTha kar peD par
khol kar gaThri pahan lin Topiyan
jach rahe the Topiyon mein jaanwar
shor karne lag gae bandar bahut
jag uTha jo so raha tha be-KHabar
us ne jab gaThri na dekhi aas-pas
dil mein ye socha gai gaThri kidhar
peD par us ne jo dekha ghaur se
aae bandar Topiyan pahne nazar
Topiyan pane ki koshish us ne ki
mil na paya jab use koi samar
apne sar se apni Topi ko utar
phenk di ghusse mein us ne ghas par
sab ne phenkin apni apni Topiyan
bandaron par ye hua us ka asar
jama kar lin us ne apni Topiyan
su-e-manzil bandh li phir us ne kamar
Topiyan kaise 'ufuq' miltin use
aql se leta na kaam apni agar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.