arabchi so gaya hai
arābchī so gayā hai
tūlānī fāsloñ kī
thakan se maġhlūb ho gayā hai
ḳhabar nahīñ hai use kahāñ hai
bas ek lambe kaTe-phaTe
nā-tarāsh raste pe chobī gaaḌī
azal se yūñhī
abad kī jānib ravāñ-davāñ hai
zarā se jhaTke se
charcharātī hai jab
to bosīdgī kī lākhoñ tahoñ meñ lipTā
har ek zī-rūh chauñktā hai
arābchī ḳhvāb dekhtā hai
vo shāh-zādī kā haath thāme
sunahrī rath meñ savār ho kar
ajab jahānoñ meñ shubh zamānoñ meñ
kho gayā hai
arābchī so gayā hai.....!
arabchi so gaya hai
tulani faslon ki
thakan se maghlub ho gaya hai
KHabar nahin hai use kahan hai
bas ek lambe kaTe-phaTe
na-tarash raste pe chobi gaDi
azal se yunhi
abad ki jaanib rawan-dawan hai
zara se jhaTke se
charcharaati hai jab
to bosidgi ki lakhon tahon mein lipTa
har ek zi-ruh chaunkta hai
arabchi KHwab dekhta hai
wo shah-zadi ka hath thame
sunahri rath mein sawar ho kar
ajab jahanon mein shubh zamanon mein
kho gaya hai
arabchi so gaya hai!
- Book : Arabchi so gia hai (Pg. 31)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Sanjh Publications Pakistan (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.