art-gallery main ek taswir
Interesting Fact
(October 1977)
sub.h savere saḌkoñ par jaate ūñToñ ke gale meñ
boltī ghanTī kī āvāz havā ke tīroñ se zaḳhmī hai
aur kisī kī nazar nahīñ hai
duur safar par ga.e huoñ ke rastoñ par an-ginat duā.eñ bichhī huī haiñ
aur kisī ko ḳhabar nahīñ hai
sab dekhe an-dekhe dukh
āseb-zada tahrīroñ ko chehre par milte phirte haiñ
aur ka.ī baras se yuuñ hotā hai
dariyā sonā miTTī pīchhe chhoḌ aate haiñ
sahrā ko ābādī ke sāhil par phailāte aage baḌh jaate haiñ
rizq ke pīchhe bhāgtī āñkheñ jismoñ ke Dhāñchoñ meñ ulajh ga.ī haiñ
koī bisāt-e-vaqt pe rakkhe mohroñ ko chalne se pahle
ek nazar in sab chehroñ par Dāltā hai
phir ik mohara chal detā hai
duur pahāḌoñ ke us jānib jaltā sūraj raat ke ḳhemoñ meñ chup baiThā
aane vaale kal kī bābat soch rahā hai
subh sawere saDkon par jate unTon ke gale mein
bolti ghanTi ki aawaz hawa ke tiron se zaKHmi hai
aur kisi ki nazar nahin hai
dur safar par gae huon ke raston par an-ginat duaen bichhi hui hain
aur kisi ko KHabar nahin hai
sab dekhe an-dekhe dukh
aaseb-zada tahriron ko chehre par milte phirte hain
aur kai baras se yun hota hai
dariya sona miTTi pichhe chhoD aate hain
sahra ko aabaadi ke sahil par phailate aage baDh jate hain
rizq ke pichhe bhagti aankhen jismon ke Dhanchon mein ulajh gai hain
koi bisat-e-waqt pe rakkhe mohron ko chalne se pahle
ek nazar in sab chehron par Dalta hai
phir ek mohara chal deta hai
dur pahaDon ke us jaanib jalta suraj raat ke KHemon mein chup baiTha
aane wale kal ki babat soch raha hai
- Book : جنہیں راستے میں خبر ہوئی (Pg. 115)
- Author : سلیم کوثر
- Publication : فضلی بکس ٹیمپل روڈ،اردو بازار، کراچی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.