asas
hamāre andar
bahut sī qadreñ bahut se ehsās mushtarak haiñ
azal hamārā likhā gayā ḳhaak kī sadā se
vajūd āb-e-ravāñ kā paikar
havā se hai rishta-e-sadāqat
hai aag se ḳhuun meñ tamāzat
na tum mukammal na ham mukammal
adhūre tum bhī adhūre ham bhī
kabhī yaqīñ haiñ kabhī gumāñ haiñ
kahīñ zabāñ haiñ kahīñ bayāñ haiñ
shikasta lamhoñ ke pāsbāñ haiñ
bujhe bujhe se Dare Dare se
gunāh sāñsoñ meñ pālte haiñ
zamīñ pe paanī uchhālte haiñ
sukūn ehsās kī talab meñ
khaḌe haiñ sahrā-e-roz-o-shab meñ
haiñ ek jaisī hamārī ḳhushiyāñ hamāre aañsū
hamārī rangat hamārī ḳhushbū
hamārī tah meñ haiñ ek jaise ka.ī shu.ūr-e-nazar ke pahlū
hamārī bāteñ bhī ek jaisī
basīratoñ kī talāsh meñ gum
havāoñ ke irti.āsh meñ gum
hamesha fikr-e-ma.āsh meñ gum
safar hamārā likhā hai zulmāt ke ufuq par
bahā.e aañsū shaguftagī se lipaT lipaT kar
ḳhud apne naqsh-e-qadam gine haiñ palaT palaT kar
hayāt se rah ga.e haiñ kaT kar
hamārī saarī zarūrateñ bhī haiñ ek jaisī
mohabbateñ bhī sadāqateñ bhī
numā.isheñ bhī rifāqateñ bhī
hamāre sīnoñ meñ zau-fishāñ haiñ
lahū kī sūrat hamāre andar ravāñ-davāñ haiñ
tumheñ jo ġham hai usī ne aksar mujhe chhuā hai
hayāt kā kā.enāt kā ġham
tahārat-e-vājibāt kā ġham
taqaddus-e-iltifāt kā ġham
magar ye lagtā hai har qadam par
tamām sachchā.iyāñ pahan kar
diloñ kī gahrā.iyāñ pahan kar
vafā kī parchhā.iyāñ pahan kar
hamāre andar hazār-hā fāsle to ab tak bichhe hue haiñ
kahīñ usūloñ kī dhuup dil ko tapā rahī hai
kahīñ aqā.ed kī āñdhiyāñ haiñ
kahīñ ḳhudī rāste kā patthar
anā kahīñ sar pe sāya-afgan
na tum hamāre na ham tumhāre
ghuTan hamāre nasīb meñ hai
na jī rahe haiñ na mar rahe haiñ
ḳhud apne saa.e se Dar rahe haiñ
qarīb rah kar judā judā haiñ
ġhamoñ meñ Duubī koī sadā haiñ
ḳhud apne idrāk se ḳhafā haiñ
pas-e-vafā naqsh-e-bevafā haiñ
hamāre andar
abhī bhī sadiyoñ kī dūriyāñ haiñ
abhī bhī sadiyoñ ke fāsle haiñ
adhūre tum bhī adhūre ham bhī
na aas koī sukūn dil kī
na raushnī kā koī asāsa
kahīñ nahīñ silsila yaqīñ kā
nasīb hogā kise ḳhirāj-e-nigāh-e-ulfat
kise pata ki kahāñ milegī zamīñ pe qurbat
tum apne ghar meñ ham apne ghar meñ
udaas tum bhī udaas ham bhī
barahna-pā be-libās ham bhī
haiñ be-karāñ fāsloñ kī zad meñ
ġhamoñ kī zad meñ
na tum salāmat na ham salāmat
yahī muqaddar yahī sadāqat
yahī hai bas āḳhirī haqīqat
ki ḳhvāb sī lag rahī hai ab raushnī kī saa.at
hamare andar
bahut si qadren bahut se ehsas mushtarak hain
azal hamara likha gaya KHak ki sada se
wajud aab-e-rawan ka paikar
hawa se hai rishta-e-sadaqat
hai aag se KHun mein tamazat
na tum mukammal na hum mukammal
adhure tum bhi adhure hum bhi
kabhi yaqin hain kabhi guman hain
kahin zaban hain kahin bayan hain
shikasta lamhon ke pasban hain
bujhe bujhe se Dare Dare se
gunah sanson mein palte hain
zamin pe pani uchhaalte hain
sukun ehsas ki talab mein
khaDe hain sahra-e-roz-o-shab mein
hain ek jaisi hamari KHushiyan hamare aansu
hamari rangat hamari KHushbu
hamari tah mein hain ek jaise kai shuur-e-nazar ke pahlu
hamari baaten bhi ek jaisi
basiraton ki talash mein gum
hawaon ke irtiash mein gum
hamesha fikr-e-maash mein gum
safar hamara likha hai zulmat ke ufuq par
bahae aansu shaguftagi se lipaT lipaT kar
KHud apne naqsh-e-qadam gine hain palaT palaT kar
hayat se rah gae hain kaT kar
hamari sari zaruraten bhi hain ek jaisi
mohabbaten bhi sadaqaten bhi
numaishen bhi rifaqaten bhi
hamare sinon mein zau-fishan hain
lahu ki surat hamare andar rawan-dawan hain
tumhein jo gham hai usi ne aksar mujhe chhua hai
hayat ka kaenat ka gham
tahaarat-e-wajibaat ka gham
taqaddus-e-iltifat ka gham
magar ye lagta hai har qadam par
tamam sachchaiyan pahan kar
dilon ki gahraiyan pahan kar
wafa ki parchhaiyan pahan kar
hamare andar hazar-ha fasle to ab tak bichhe hue hain
kahin usulon ki dhup dil ko tapa rahi hai
kahin aqaed ki aandhiyan hain
kahin KHudi raste ka patthar
ana kahin sar pe saya-afgan
na tum hamare na hum tumhaare
ghuTan hamare nasib mein hai
na ji rahe hain na mar rahe hain
KHud apne sae se Dar rahe hain
qarib rah kar juda juda hain
ghamon mein Dubi koi sada hain
KHud apne idrak se KHafa hain
pas-e-wafa naqsh-e-bewafa hain
hamare andar
abhi bhi sadiyon ki duriyan hain
abhi bhi sadiyon ke fasle hain
adhure tum bhi adhure hum bhi
na aas koi sukun dil ki
na raushni ka koi asasa
kahin nahin silsila yaqin ka
nasib hoga kise KHiraj-e-nigah-e-ulfat
kise pata ki kahan milegi zamin pe qurbat
tum apne ghar mein hum apne ghar mein
udas tum bhi udas hum bhi
barahna-pa be-libas hum bhi
hain be-karan faslon ki zad mein
ghamon ki zad mein
na tum salamat na hum salamat
yahi muqaddar yahi sadaqat
yahi hai bas aaKHiri haqiqat
ki KHwab si lag rahi hai ab raushni ki saat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.