asar paida kar
jabr kā daur hai aahoñ meñ asar paidā kar
zulmat-e-shab se hī āsār-e-sahar paidā kar
jaur-e-maġhrib se na andāz-e-hazar paidā kar
taḳht-e-bātil jo ulaT deñ vo bashar paidā kar
ġhair ko apnā banā le vo nazar paidā kar
sang-rezoñ se guhar-pāsh guhar paidā kar
ik nazar dekh ke tū bhāñp le maqsad dil kā
chashm-e-bīnā meñ tafakkur kā asar paidā kar
apnī duniyā tujhe duniyā se banānī hai alag
āsmāñ taare zamīñ shams-o-qamar paidā kar
hai tirā ḳhvāb-e-girāñ dūrī-e-manzil kā sabab
ḳhizr hamdard hai uTh azm-e-safar paidā kar
kyoñ zamāne ke ḳham-o-pech meñ uljhā hai tū
dil meñ ehsās-e-tabāhī-o-zarar paidā kar
ġham-e-shamshīr hai kyā dast-tahī uTh nādāñ
tū bahādur hai to be teġh zafar paidā kar
aarzū jis kī tujhe hai vo nihāñ hai tujh meñ
dekhnā ho to sadāqat kī nazar paidā kar
quvvateñ arz-o-samā kī haiñ tirī fitrat meñ
shāḳh-e-ummīd pe maqsad kā samar paidā kar
apne īsār kā le sang-diloñ se badla
baat to jab hai ki patthar se guhar paidā kar
kyoñ hai māyūsī-e-paiham se tirā dil māyūs
be-ḳhabar apnī duāoñ meñ asar paidā kar
qaid ḳhurshīd-e-falak-tāb kī kirneñ kar le
mustaqil apnī shab-e-ġham meñ sahar paidā kar
jins-e-ulfat kī jo darkār ḳharīdārī hai
mīThā mīThā sā zarā dard-e-jigar paidā kar
azm-e-rāsiḳh ho ūlul-azm ho pahle ġhāfil
phir agar chāhe to patthar se sharar paidā kar
hai tasarruf meñ tire dahr kī har chiiz 'razī'
uTh aur uTh kar inhīñ zarroñ se qamar paidā kar
jabr ka daur hai aahon mein asar paida kar
zulmat-e-shab se hi aasar-e-sahar paida kar
jaur-e-maghrib se na andaz-e-hazar paida kar
taKHt-e-baatil jo ulaT den wo bashar paida kar
ghair ko apna bana le wo nazar paida kar
sang-rezon se guhar-pash guhar paida kar
ek nazar dekh ke tu bhanp le maqsad dil ka
chashm-e-bina mein tafakkur ka asar paida kar
apni duniya tujhe duniya se banani hai alag
aasman tare zamin shams-o-qamar paida kar
hai tera KHwab-e-giran duri-e-manzil ka sabab
KHizr hamdard hai uTh azm-e-safar paida kar
kyon zamane ke KHam-o-pech mein uljha hai tu
dil mein ehsas-e-tabahi-o-zarar paida kar
gham-e-shamshir hai kya dast-tahi uTh nadan
tu bahadur hai to be tegh zafar paida kar
aarzu jis ki tujhe hai wo nihan hai tujh mein
dekhna ho to sadaqat ki nazar paida kar
quwwaten arz-o-sama ki hain teri fitrat mein
shaKH-e-ummid pe maqsad ka samar paida kar
apne isar ka le sang-dilon se badla
baat to jab hai ki patthar se guhar paida kar
kyon hai mayusi-e-paiham se tera dil mayus
be-KHabar apni duaon mein asar paida kar
qaid KHurshid-e-falak-tab ki kirnen kar le
mustaqil apni shab-e-gham mein sahar paida kar
jins-e-ulfat ki jo darkar KHaridari hai
miTha miTha sa zara dard-e-jigar paida kar
azm-e-rasiKH ho ulul-azm ho pahle ghafil
phir agar chahe to patthar se sharar paida kar
hai tasarruf mein tere dahr ki har chiz 'razi'
uTh aur uTh kar inhin zarron se qamar paida kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.