ashkon mein dhanak
is retīle badan kī
jhulsī huī ragoñ meñ
hai tel kā tamāsha
aur barf kī tahoñ meñ
hai sūrajoñ kā girya
yā pāniyoñ kī dahshat
yā ḳhushk-sāliyāñ haiñ
mahtāb se Tapaktā
tārīkiyoñ kā laavā
ruḳhsār dāġhtā hai
us sub.h kā sitārā
chiḌiyoñ ke ghoñsloñ meñ
bārūd bāñTtā hai
un choTiyoñ pe parcham
anjān vādiyoñ ke
aur vādiyoñ pe daa.im
anjān choTiyoñ ke
sāyoñ kī hukmarānī
ye mere āñsuoñ meñ
rakhī huī dhanak hai
us husn kī kahānī
namkīn pāniyoñ kī
taskīn ban rahī hai
un sabz gumbadoñ par
baiThe hue kabūtar
āñkheñ nahīñ jhapakte
aur bargadoñ ke pīchhe
so.e hue payambar
ḳhvāboñ meñ jāgte haiñ
in ā.inoñ pe miTTī
in khiḌkiyoñ meñ jaale
ye jaam reza reza
ye tishna-lab navā-gar
ye be-navā gadāgar
aur retīle badan kī
jhulsī huī ragoñ meñ
hai tel kā ḳhazāna
is barf kī tahoñ meñ
in sūrajoñ kā girya
sailāb kab banegā
ye ret kab dhulegī
in ḳhushk Tahniyoñ meñ
mahtāb kab banegā
sadiyoñ kā bojh uThā.e
sadiyoñ se muntazir haiñ
qirtās-e-ahmarīñ par
dhabbe se raushnī ke
lā-raib ye risālat
lā-raib ye sahīfe
lekin tire ujāle
dīmak hī chāTtī thī
dīmak hī chāTtī hai
is retile badan ki
jhulsi hui ragon mein
hai tel ka tamasha
aur barf ki tahon mein
hai surajon ka girya
ya paniyon ki dahshat
ya KHushk-saliyan hain
mahtab se Tapakta
tarikiyon ka lawa
ruKHsar daghta hai
us subh ka sitara
chiDiyon ke ghonslon mein
barud banTta hai
un choTiyon pe parcham
anjaan wadiyon ke
aur wadiyon pe daim
anjaan choTiyon ke
sayon ki hukmarani
ye mere aansuon mein
rakhi hui dhanak hai
us husn ki kahani
namkin paniyon ki
taskin ban rahi hai
un sabz gumbadon par
baiThe hue kabutar
aankhen nahin jhapakte
aur bargadon ke pichhe
soe hue payambar
KHwabon mein jagte hain
in aainon pe miTTi
in khiDkiyon mein jale
ye jam reza reza
ye tishna-lab nawa-gar
ye be-nawa gadagar
aur retile badan ki
jhulsi hui ragon mein
hai tel ka KHazana
is barf ki tahon mein
in surajon ka girya
sailab kab banega
ye ret kab dhulegi
in KHushk Tahniyon mein
mahtab kab banega
sadiyon ka bojh uThae
sadiyon se muntazir hain
qirtas-e-ahmarin par
dhabbe se raushni ke
la-raib ye risalat
la-raib ye sahife
lekin tere ujale
dimak hi chaTti thi
dimak hi chaTti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.