ashnan
jab nuur ke parde se haTā parda-e-zulmāt
jab sub.h ke māthe se miTī gard-e-ḳhurāfāt
pau phūTne vaalī thī to mashriq thā hinā.ī
milne ko thī duniyā ko shuāoñ kī badhā.ī
sahmī huī utrī to thī ākāsh se shabnam
ġhunchoñ ko tabassum kā vo paiġhām thī tāham
kaliyoñ ko jo badmast havā chuum rahī thī
is chheḌ par har shāḳh-e-chaman jhuum rahī thī
chiḌiyoñ kī chahak duur se detī thī sunā.ī
uḌne kī jasārat abhī un meñ na thī aa.ī
sabza kahīñ chup-chāp guhar rol rahā thā
gul hañs ke kahīñ band-e-qabā khol rahā thā
fitrat ke pujārī bhī bahut jaag chuke the
sairoñ ke liye log bhī kuchh bhaag chuke the
taqdīs ke pāband bhī gangā ke kināre
jaate the kahīñ tez kahīñ sust bechāre
puujā koī kartā thā tilak koī banātā
jal haath meñ letā koī māthe pe lagātā
itne meñ numāyāñ huā ik paikar-e-nūrī
qadmoñ meñ shafaq jis ke paḌī bahr-e-huzūrī
sāñche meñ Dhale jaise ki andām the saare
lapke vo qadam chūmne bahte hue dhāre
bojhal thī palak niiñd ke be-sāḳhta-pan se
chhuTtī thī kiran jaise ki har mū-e-badan se
thālī jo uThā.e thī to dil vāloñ ko mahmez
mahjūb huā dekh ke ḳhurshīd-e-sahar-ḳhez
saarī kī sañbhāle hue chuTkī se thī chūnan
baḌhtī thī use dekh ke har qalb kī dhaḌkan
dariyā meñ dhare paañv baḌe nāz-o-adā se
pariyāñ sī lapakne lagīñ paanī kī ridā se
ruk ruk ke jo do-chār qadam aur baḌhā.e
chūnan ko sañbhāle hue thālī ko uThā.e
nazrāna diyā phuul kā amvāj ko us ne
thālī ko liyā ḳhādima-e-ḳhās ne baḌh ke
phir āb-e-muqaddas meñ jo Dubkī sī lagā.ī
badlī sī zarā der ko mahtāb pe chhā.ī
paanī se parī par ko jhaTaktī huī niklī
andām-e-gul-andām se lipTī huī saarī
motī se baraste the har ik mū-e-siyah se
shabnam ke vo qatre the kañval par jo paḌe the
vo mast-e-ḳhirām aa.ī usī taur ga.ī bhī
par barq-e-tapāñ ḳhirman-e-hastī par girī bhī
jab nur ke parde se haTa parda-e-zulmat
jab subh ke mathe se miTi gard-e-KHurafat
pau phuTne wali thi to mashriq tha hinai
milne ko thi duniya ko shuaon ki badhai
sahmi hui utri to thi aakash se shabnam
ghunchon ko tabassum ka wo paigham thi taham
kaliyon ko jo badmast hawa chum rahi thi
is chheD par har shaKH-e-chaman jhum rahi thi
chiDiyon ki chahak dur se deti thi sunai
uDne ki jasarat abhi un mein na thi aai
sabza kahin chup-chap guhar rol raha tha
gul hans ke kahin band-e-qaba khol raha tha
fitrat ke pujari bhi bahut jag chuke the
sairon ke liye log bhi kuchh bhag chuke the
taqdis ke paband bhi ganga ke kinare
jate the kahin tez kahin sust bechaare
puja koi karta tha tilak koi banata
jal hath mein leta koi mathe pe lagata
itne mein numayan hua ek paikar-e-nuri
qadmon mein shafaq jis ke paDi bahr-e-huzuri
sanche mein Dhale jaise ki andam the sare
lapke wo qadam chumne bahte hue dhaare
bojhal thi palak nind ke be-saKHta-pan se
chhuTti thi kiran jaise ki har mu-e-badan se
thaali jo uThae thi to dil walon ko mahmez
mahjub hua dekh ke KHurshid-e-sahar-KHez
sari ki sanbhaale hue chuTki se thi chunan
baDhti thi use dekh ke har qalb ki dhaDkan
dariya mein dhare panw baDe naz-o-ada se
pariyan si lapakne lagin pani ki rida se
ruk ruk ke jo do-chaar qadam aur baDhae
chunan ko sanbhaale hue thaali ko uThae
nazrana diya phul ka amwaj ko us ne
thaali ko liya KHadima-e-KHas ne baDh ke
phir aab-e-muqaddas mein jo Dubki si lagai
badli si zara der ko mahtab pe chhai
pani se pari par ko jhaTakti hui nikli
andam-e-gul-andam se lipTi hui sari
moti se baraste the har ek mu-e-siyah se
shabnam ke wo qatre the kanwal par jo paDe the
wo mast-e-KHiram aai usi taur gai bhi
par barq-e-tapan KHirman-e-hasti par giri bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.