asir kar nahin sakta
asiir kar nahīñ saktā inheñ koī mausam
ye log apne zamāne se aage chalte haiñ
kahīñ Thaharte nahīñ ye kisī bhī aalam meñ
ye uḌte lamhoñ kī raftār ko badalte haiñ
ye bandagān-e-mohabbat haiñ in kī barakat se
bisāt-e-dil pe hazāroñ charāġh jalte haiñ
inhīñ kā faiz inhīñ kā karam hai bastī meñ
ki log raqs-kunāñ haiñ surūr-o-mastī meñ
mahak rahe haiñ diloñ ke hazār kāshāne
utar rahī hai gharoñ meñ ye raushnī kī barāt
bikhar rahī hai fazā-e-zamīn ḳhush-auqāt
khile khile haiñ rah-e-zindagī ke sab ashjār
hayāt baañT rahī hai bahār kī sauġhāt
asir kar nahin sakta inhen koi mausam
ye log apne zamane se aage chalte hain
kahin Thaharte nahin ye kisi bhi aalam mein
ye uDte lamhon ki raftar ko badalte hain
ye bandagan-e-mohabbat hain in ki barakat se
bisat-e-dil pe hazaron charagh jalte hain
inhin ka faiz inhin ka karam hai basti mein
ki log raqs-kunan hain surur-o-masti mein
mahak rahe hain dilon ke hazar kashane
utar rahi hai gharon mein ye raushni ki baraat
bikhar rahi hai faza-e-zamin KHush-auqat
khile khile hain rah-e-zindagi ke sab ashjar
hayat banT rahi hai bahaar ki saughat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.