asir
ufuq ke surḳh kohre meñ kuhistāñ Duubā Duubā hai
pakherū kunj meñ jhankār ko apnī samote haiñ
talātum ghaas ke ban kā thamā taare daraḳhtoñ kī
ghanī shāḳhoñ ke āvezāñ meñ motī se pirote haiñ
sabhī sakhiyāñ gharoñ ko le ke gāgar jā chukīñ kab kī
darīchoñ se ab un ke raushnī rah rah ke chhantī hai
dhuāñ chūlhoñ kā halqa halqa lahrātā hai āñgan meñ
udāsī shaam kī ik zamzama ik giit bantī hai
ye paanī jis ne dī phūloñ ko ḳhushbū duub kī rañgat
halāvat ghol dī āzād chiḌiyoñ ke tarannum meñ
dahakte zard Tīloñ ke diloñ kī ḳhunkiyāñ baḳhshīñ
Dhalā āḳhir ye kaise mere āzurda tabassum meñ
tahī gāgar kināre par rakhe is soch meñ gum huuñ
ki ye zanjīr kyā hai jis ne mujh ko bāñdh rakkhā hai
ufuq ke surKH kohre mein kuhistan Duba Duba hai
pakheru kunj mein jhankar ko apni samote hain
talatum ghas ke ban ka thama tare daraKHton ki
ghani shaKHon ke aawezan mein moti se pirote hain
sabhi sakhiyan gharon ko le ke gagar ja chukin kab ki
darichon se ab un ke raushni rah rah ke chhanti hai
dhuan chulhon ka halqa halqa lahraata hai aangan mein
udasi sham ki ek zamzama ek git banti hai
ye pani jis ne di phulon ko KHushbu dub ki rangat
halawat ghol di aazad chiDiyon ke tarannum mein
dahakte zard Tilon ke dilon ki KHunkiyan baKHshin
Dhala aaKHir ye kaise mere aazurda tabassum mein
tahi gagar kinare par rakhe is soch mein gum hun
ki ye zanjir kya hai jis ne mujh ko bandh rakkha hai
- Book : Silsila-e-makalmat (Pg. 327)
- Author : Shafique Fatma Shora
- Publication : Educational Publishing House (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.