aspatal ka kamra
tamām shab kī dukhan, be-kalī, subuk ḳhvābī
numūd-e-sub.h ko darmāñ samajh ke kaaTī hai
ragoñ meñ dauḌte phirte lahū kī har aahaT
ajal-girafta ḳhayāloñ ko aas detī hai
magar vo aañkh jo sab dekhtī hai
hañstī hai
ufuq se sub.h kī pahlī kiran ubhartī hai
tamām raat kī fariyād ik sukūt meñ chup
tamām shab kī dukhan, be-kalī, subuk-ḳhvābī
harīrī pardoñ kī ḳhāmosh silvaToñ meñ gum
jo aañkh zinda thī
ḳhāmosh chhat ko taktī hai
aur ek aañkh jo sab dekhtī hai
hañsī
numūd-e-sub.h kī zartār raushnī ke saath
mahakte phuul darīche se jhāñk kar dekheñ
tū mez dar pe kisī dard kā nishāñ na mile
ugāldān davāoñ kī shīshiyāñ pañkhā
kuñvārī maañ kā tabassum, salīb āvezāñ
har ek chiiz ba-dastūr apnī apnī jagah
na.e marīz kī aamad kā intizār kare
aur ek aañkh jo sab dekhtī hai
hañstī rahe.
tamam shab ki dukhan, be-kali, subuk KHwabi
numud-e-subh ko darman samajh ke kaTi hai
ragon mein dauDte phirte lahu ki har aahaT
ajal-girafta KHayalon ko aas deti hai
magar wo aankh jo sab dekhti hai
hansti hai
ufuq se subh ki pahli kiran ubharti hai
tamam raat ki fariyaad ek sukut mein chup
tamam shab ki dukhan, be-kali, subuk-KHwabi
hariri pardon ki KHamosh silwaTon mein gum
jo aankh zinda thi
KHamosh chhat ko takti hai
aur ek aankh jo sab dekhti hai
hansi
numud-e-subh ki zartar raushni ke sath
mahakte phul dariche se jhank kar dekhen
tu mez dar pe kisi dard ka nishan na mile
ugaldan dawaon ki shishiyan pankha
kunwari man ka tabassum, salib aawezan
har ek chiz ba-dastur apni apni jagah
nae mariz ki aamad ka intizar kare
aur ek aankh jo sab dekhti hai
hansti rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.