auj-e-surayya
in dinoñ auj-e-surayyā se ik aañkh
tasht meñ phuul charāġh aur kuchh āyāt kā nuur
baḳht kī rehl meñ rakhtī hai
du'ā detī hai
āsmāñ aur zamīñ sab se judā detī hai
yā'nī mujh ko mire hone kā pata detī hai
tasht meñ rakkhī huī 'ishq kī āyāt se nuur
yuuñ Tapaktā hai mirī aañkh ke gul-dānoñ meñ
jaise bhagvān utar aayā ho insānoñ meñ
jabr se ḳhuun se mahkī huī dhartī pe 'nadīm'
tasht meñ phuul salīqe se sajā detā hai
aur hameñ amn se jiine kī du'ā detā hai
aaj bhī auj-e-surayyā kā pata detā hai
aaj bhī auj-e-surayyā kā pata detā hai
in dinon auj-e-surayya se ek aankh
tasht mein phul charagh aur kuchh aayat ka nur
baKHt ki rehl mein rakhti hai
du'a deti hai
aasman aur zamin sab se juda deti hai
ya'ni mujh ko mere hone ka pata deti hai
tasht mein rakkhi hui 'ishq ki aayat se nur
yun Tapakta hai meri aankh ke gul-danon mein
jaise bhagwan utar aaya ho insanon mein
jabr se KHun se mahki hui dharti pe 'nadim'
tasht mein phul saliqe se saja deta hai
aur hamein amn se jine ki du'a deta hai
aaj bhi auj-e-surayya ka pata deta hai
aaj bhi auj-e-surayya ka pata deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.