aulad
bahār aa.egī phūTegī shāḳh se koñpal
shikast-e-barg-e-ḳhizāñ se yaqīn hotā hai
jo tum ho saath to mahsūs ho rahā hai mujhe
ḳhizāñ-nasīb chaman bhī hasīn hotā hai
hatheliyoñ se hinā tak abhī na chhūTī thī
gale ke phuul bhī baasī na hone paa.e the
ki vo hasīn-o-javāñ-sāl ḳhvāb TuuT ga.e
suhāg-rāt jo afshāñ meñ jagmagā.e the
zamāna kokh-jalī kah rahā hai kahne do
tumhāre haath meñ qismat kā faisla to nahīñ
tumhārā kaam hai phūloñ kī aarzū karnā
tumhāre bas meñ bahāroñ kā qāfila to nahīñ
nafas-nafas pe ye ehsās-e-tīrgī kaisā
palak palak meñ sitāre piro rahī ho kyoñ
tumheñ tamām chaman maiñ ne sauñp rakkhā hai
tum ik kalī ke liye jaan kho rahī ho kyoñ
ġharīb qaum ke ye honhār shahzāde
tum apne pyaar kī ra.anā.iyāñ inheñ de do
tum apne dil kī mohabbat bikher do in par
tum apnī ruuh kī tanhā.iyāñ inheñ de do
kahīñ khile hoñ magar kitne pyāre pyāre haiñ
ye phuul apne nahīñ haiñ magar hamāre haiñ
bahaar aaegi phuTegi shaKH se konpal
shikast-e-barg-e-KHizan se yaqin hota hai
jo tum ho sath to mahsus ho raha hai mujhe
KHizan-nasib chaman bhi hasin hota hai
hatheliyon se hina tak abhi na chhuTi thi
gale ke phul bhi basi na hone pae the
ki wo hasin-o-jawan-sal KHwab TuT gae
suhag-raat jo afshan mein jagmagae the
zamana kokh-jali kah raha hai kahne do
tumhaare hath mein qismat ka faisla to nahin
tumhaara kaam hai phulon ki aarzu karna
tumhaare bas mein bahaaron ka qafila to nahin
nafas-nafas pe ye ehsas-e-tirgi kaisa
palak palak mein sitare piro rahi ho kyon
tumhein tamam chaman main ne saunp rakkha hai
tum ek kali ke liye jaan kho rahi ho kyon
gharib qaum ke ye honhaar shahzade
tum apne pyar ki ranaiyan inhen de do
tum apne dil ki mohabbat bikher do in par
tum apni ruh ki tanhaiyan inhen de do
kahin khile hon magar kitne pyare pyare hain
ye phul apne nahin hain magar hamare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.