aur pani Thahar gaya
aur paanī Thahar gayā āñkhoñ meñ chehra siyāh huā
aur āñkheñ phail ga.iiñ
aur āñkheñ phail ga.iiñ āñkhoñ meñ honā gunāh huā
us din saare likhne vaale ghar aa.e aur luuT ga.e
aur sab kī āñkheñ Thahar ga.iiñ aur sab kā chehra phail gayā
māhī-gīroñ ne us din be-andāza jaal bune
aur bachche bhūke hī so.e
aur maa.eñ bistar baan kise chup leT ga.iiñ
aur jab māhī-gīroñ kī bastī meñ raat aa.ī
sab jaal sameTe ghar aa.e aur lauT ga.e
aur sab kī āñkheñ Thahar ga.iiñ aur sab kā chehra phail gayā
ye raat samundar paar se ho kar aa.ī thī
so beach samundar Thahar ga.ī
us raat kī jis ne baat likhī vo ghar na gayā
vo beach samundar Thahar gayā
vo miTTī kī zanjīroñ se āzād huā
so aane vaalā kal jo nahīñ hai us kā hai
jab barf saroñ par aa.egī tum jāgoge
aur pichhle uunī moze kaam na deñge
aur shāleñ sarsar khultī jā.eñgī
aur bīviyāñ Dar kar uTheñgī
ai pichhlī rut ke chalne vaale luuT chalo
murde mardoñ ko ḳhud dafn kareñge
jab bache shāḳhoñ par palte hoñ bārish kā kyā ḳhauf
haañ bārish sāgar kā pahlā harkāra hai
aur kīloñ kī ye joḌī laḌke kal tak saath na degī
vo āñkheñ mīche hañstī hai aur sotī hai
laḌke jaldī ghar aa jaanā
paanī Thahar gayā hai
aur laḌkā ghar na gayā
vo laḌkā ghar na gayā
aur dekhne vāloñ ne dekhā
vo barf ke tuude khīñchtā thā aur rotā thā
aur ghar paanī ke beach jhakole khātā thā
paanī jo Thahar gayā
aur pani Thahar gaya aankhon mein chehra siyah hua
aur aankhen phail gain
aur aankhen phail gain aankhon mein hona gunah hua
us din sare likhne wale ghar aae aur luT gae
aur sab ki aankhen Thahar gain aur sab ka chehra phail gaya
mahi-giron ne us din be-andaza jal bune
aur bachche bhuke hi soe
aur maen bistar ban kise chup leT gain
aur jab mahi-giron ki basti mein raat aai
sab jal sameTe ghar aae aur lauT gae
aur sab ki aankhen Thahar gain aur sab ka chehra phail gaya
ye raat samundar par se ho kar aai thi
so beach samundar Thahar gai
us raat ki jis ne baat likhi wo ghar na gaya
wo beach samundar Thahar gaya
wo miTTi ki zanjiron se aazad hua
so aane wala kal jo nahin hai us ka hai
jab barf saron par aaegi tum jagoge
aur pichhle uni moze kaam na denge
aur shaalen sarsar khulti jaengi
aur biwiyan Dar kar uThengi
ai pichhli rut ke chalne wale luT chalo
murde mardon ko KHud dafn karenge
jab bache shaKHon par palte hon barish ka kya KHauf
han barish sagar ka pahla harkara hai
aur kilon ki ye joDi laDke kal tak sath na degi
wo aankhen miche hansti hai aur soti hai
laDke jaldi ghar aa jaana
pani Thahar gaya hai
aur laDka ghar na gaya
wo laDka ghar na gaya
aur dekhne walon ne dekha
wo barf ke tude khinchta tha aur rota tha
aur ghar pani ke beach jhakole khata tha
pani jo Thahar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.