aur tum nahin aae
shaam jā chukī kab kī
raat aa chukī kab kī
qahqahe parindoñ ke
gum hue fazāoñ meñ
ḳhāmushī ke dāman meñ
so ga.e haiñ hangāme
āsmān abr-ālūd
bijliyāñ chamaktī haiñ
tīrgī miTāne ko
is muhīb manzar meñ
muntazir nigāhoñ kā
ik charāġh raushan hai
aur tum nahīñ aa.e
shabnamī libāsoñ meñ
phuul sab muzayyan haiñ
ḳhushbuoñ ke naġhme se
ye fazā mo.attar hai
jugnuoñ kī bārish se
jā-ba-jā ujālā hai
sard sard jhoñkā hai
boltā darīcha hai
qāfila sitāroñ kā
āsmāñ kī bāhoñ meñ
pyaar kī panāhoñ meñ
kab se aa ke Thahrā hai
aur tum nahīñ aa.e
narm-rū havā paiham
nanhe nanhe paudoñ kā
so.e so.e peḌoñ kā
ūñche ūñche Tīloñ kā
dhuul dhuul rastoñ kā
saaf saaf jharnoñ kā
ḳhvāb ḳhvāb āñkhoñ kā
chāñd chāñd chehroñ kā
phuul phuul jismoñ kā
bosa le ke aatī hai
vasl kā mohabbat kā
ek giit gaatī hai
aur tum nahīñ aa.e
sham ja chuki kab ki
raat aa chuki kab ki
qahqahe parindon ke
gum hue fazaon mein
KHamushi ke daman mein
so gae hain hangame
aasman abr-alud
bijliyan chamakti hain
tirgi miTane ko
is muhib manzar mein
muntazir nigahon ka
ek charagh raushan hai
aur tum nahin aae
shabnami libason mein
phul sab muzayyan hain
KHushbuon ke naghme se
ye faza moattar hai
jugnuon ki barish se
ja-ba-ja ujala hai
sard sard jhonka hai
bolta daricha hai
qafila sitaron ka
aasman ki bahon mein
pyar ki panahon mein
kab se aa ke Thahra hai
aur tum nahin aae
narm-ru hawa paiham
nanhe nanhe paudon ka
soe soe peDon ka
unche unche Tilon ka
dhul dhul raston ka
saf saf jharnon ka
KHwab KHwab aankhon ka
chand chand chehron ka
phul phul jismon ka
bosa le ke aati hai
wasl ka mohabbat ka
ek git gati hai
aur tum nahin aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.