aur tumne taras bhi nahin khaya shama bujhane mein
sham.a bujhānī thī
to jalāyā kyoñ thā
yuuñ be-ruḳhī se
muñh moḌnā thā
to anjuman meñ biThāyā hī kyoñ thā
vo dekho
falak pe chāñd
kaisā udaas dikh rahā hai
dekho
zarā dekho to us kī āñkheñ
kaisī DabDabā aa.ī haiñ
chāñd se merā kyā rishta hai
sirf itnā hī na
ki har raat
maiñ use ek baar dekhtā thā
aur use dekh kar haath hilā diyā kartā thā
chāñd
kahīñ bhī hotā thā
bādaloñ kī oT meñ
kisī baḌe daraḳht ke
sabz pattoñ ke pīchhe
yā ūñchī imāratoñ ke
chhajjoñ ke pīchhe
vo dauḌ kar
bāhar nikal aatā thā
shafqat se labrez muskān
bikher detā thā
aur maiñ
maiñ use dekh kar
haath hilā diyā kartā thā
tum se to behtar hai
vo chāñd
jo mujhe tanhā dekh kar
udaas ho uThā
aur tum
tum ne taras bhī nahīñ khāyā
sham.a bujhāne meñ
sham.a bujhānī thī
to jalāyā kyoñ thā
yuuñ be-ruḳhī se muñh moḌnā thā
to anjuman meñ biThāyā hī kyoñ thā
shama bujhani thi
to jalaya kyon tha
yun be-ruKHi se
munh moDna tha
to anjuman mein biThaya hi kyon tha
wo dekho
falak pe chand
kaisa udas dikh raha hai
dekho
zara dekho to us ki aankhen
kaisi DabDaba aai hain
chand se mera kya rishta hai
sirf itna hi na
ki har raat
main use ek bar dekhta tha
aur use dekh kar hath hila diya karta tha
chand
kahin bhi hota tha
baadalon ki oT mein
kisi baDe daraKHt ke
sabz patton ke pichhe
ya unchi imaraton ke
chhajjon ke pichhe
wo dauD kar
bahar nikal aata tha
shafqat se labrez muskan
bikher deta tha
aur main
main use dekh kar
hath hila diya karta tha
tum se to behtar hai
wo chand
jo mujhe tanha dekh kar
udas ho uTha
aur tum
tum ne taras bhi nahin khaya
shama bujhane mein
shama bujhani thi
to jalaya kyon tha
yun be-ruKHi se munh moDna tha
to anjuman mein biThaya hi kyon tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.