aurat KHuda ka aKHbar hai
Interesting Fact
(Tahreek, Delhi)
aaj se sirf kuchh saal pahle kī ye baat hai
āsmān jab zamīñ par nahīñ thā
ḳhudā ek aḳhbār thā aur aḳhbār meñ
totlī ainakoñ ke bure shahr kā zikr thā
aur maiñ ne kahā thā
agar merī nāpāk āñkhoñ kī almāriyoñ meñ kabhī
duudh kā jaam dekho to āvāz denā
chalā ā.ūñgā
maiñ ḳhatarnāk chehroñ kā dushman nahīñ huuñ
aaj kī raat aurat hai jis ne mujhe apnā beTā kahā hai
alganī par paḌe saare kapḌoñ par ik dhuup sī jam ga.ī hai
aur sabhī kaale bistar se lipTī huī titliyāñ uḌ ga.ī haiñ
aaj kī raat aurat hai
jis ke badan meñ mirā darmiyāna badan
Doltā hai havāoñ kī sangat liye
aaj kī raat
hañste hue kyuuñ na pakḌeñ ḳhudā ko
ḳhudā ek aḳhbār
jis meñ sabhī totlī ainakoñ ke
bure shahr kā zikr thā par vo aurat
jo ik shahr se kam nahīñ hai
mujhe apne siine kī bhārī chaTānoñ se Takrā ke
har ek se kah rahī hai
agar merī nāpāk āñkhoñ kī almāriyoñ meñ kabhī
duudh kā jaam dekho to āvāz denā
chalī ā.ūñgī
maiñ ḳhatarnāk chehroñ kī dushman nahīñ huuñ
aaj se sirf kuchh sal pahle ki ye baat hai
aasman jab zamin par nahin tha
KHuda ek aKHbar tha aur aKHbar mein
totli ainakon ke bure shahr ka zikr tha
aur main ne kaha tha
agar meri napak aankhon ki almariyon mein kabhi
dudh ka jam dekho to aawaz dena
chala aaunga
main KHatarnak chehron ka dushman nahin hun
aaj ki raat aurat hai jis ne mujhe apna beTa kaha hai
algani par paDe sare kapDon par ek dhup si jam gai hai
aur sabhi kale bistar se lipTi hui titliyan uD gai hain
aaj ki raat aurat hai
jis ke badan mein mera darmiyana badan
Dolta hai hawaon ki sangat liye
aaj ki raat
hanste hue kyun na pakDen KHuda ko
KHuda ek aKHbar
jis mein sabhi totli ainakon ke
bure shahr ka zikr tha par wo aurat
jo ek shahr se kam nahin hai
mujhe apne sine ki bhaari chaTanon se Takra ke
har ek se kah rahi hai
agar meri napak aankhon ki almariyon mein kabhi
dudh ka jam dekho to aawaz dena
chali aaungi
main KHatarnak chehron ki dushman nahin hun
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 46)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.