Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aurten hamein dhakelti hain

Fatima Mehru

aurten hamein dhakelti hain

Fatima Mehru

MORE BYFatima Mehru

    ham gandum par iktifā kar lete

    lekin hamāre sāmne kachchī roTī mahak rakhī ga.ī

    aur phir roze toḌne paḌe

    ham ek gunāh par raazī the

    lekin un meñ māmtā kuuT kuuT kar bharī huī thī

    so hameñ saare savāb khone paḌe

    ham apnī zamīnoñ par mutma.in hone ko the

    ki jangal meñ lakaḌhāre se mulāqāt ho ga.ī

    aur achānak barsāt

    hameñ chaar ke ma.anī ma.alūm bhī na ho paate

    agar ham kabhī ek se sair na hue hote

    aur is amal ko zarb-e-musalsal se na guzārā jaatā

    hameñ har kueñ meñ ḳhud-kushī shauq bhī na hotā

    agar vo hamārī raat se zyāda gahre na ho sakte

    aur paanī mazīd sastā

    ham un ke pairoñ talak rahte

    agar dil rāsta naaf se ho kar na jaatā

    aur dimāġh vo takiyoñ pe na dhar ātīñ

    hameñ surḳh rang aadat Daalī ga.ī

    jis se un par lagne vaale saare dhabbe hamāre kahlā.e

    aur sharāb ke ma.anī badalte rahe

    hameñ aag se khelte hue

    ek raat bhī na mukammal huī ki elaan huā

    apnī marzī se khelne par hāviya hamesha ke liye tumhārī huī

    hum gandum par iktifa kar lete

    lekin hamare samne kachchi roTi ki mahak rakhi gai

    aur phir roze toDne paDe

    hum ek gunah par raazi the

    lekin un mein mamta kuT kuT kar bhari hui thi

    so hamein sare sawab khone paDe

    hum apni zaminon par mutmain hone ko the

    ki jangal mein lakaDhaare se mulaqat ho gai

    aur achanak barsat

    hamein chaar ke mani malum bhi na ho pate

    agar hum kabhi ek se sair na hue hote

    aur is amal ko zarb-e-musalsal se na guzara jata

    hamein har kuen mein KHud-kushi ka shauq bhi na hota

    agar wo hamari raat se zyaada gahre na ho sakte

    aur pani mazid sasta

    hum un ke pairon talak rahte

    agar dil ka rasta naf se ho kar na jata

    aur dimagh wo takiyon pe na dhar aatin

    hamein surKH rang ki aadat Dali gai

    jis se un par lagne wale sare dhabbe hamare kahlae

    aur sharab ke mani badalte rahe

    hamein aag se khelte hue

    ek raat bhi na mukammal hui ki elan hua

    apni marzi se khelne par hawiya hamesha ke liye tumhaari hui

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now