awadh ka chand
avadh meñ chāñd jo rahtā hai ḳhūb-sūrat hai
ḳhudā kā shukr hai ab tak sahī-salāmat hai
usī ke naam se mansūb zindagī hai mirī
usī kī ḳhushiyoñ meñ poshīda har ḳhushī hai mirī
usī se milne ke ḳhātir maiñ jī rahā huuñ abhī
ġham-e-firāq kā ye zahr pī rahā huuñ abhī
vahī hai merā qasīda vahī hai merī ġhazal
maiñ us ko pyaar se kahtā huuñ zindagī kā kañval
vo mujh se duur hai phir bhī mirī zarūrat hai
jo zaḳhm maiñ ne mohabbat ke badle paayā hai
yahī hai 'ishq kā hāsil yahī kamāyā hai
vafā ḳhulūs muravvat nibhā.e jā.uñgā
hamesha giit mohabbat ke gungunā.uñgā
vo chāñd hai to mirā dard bhī to samjhegā
vo mere dil kisī din zarūr utregā
milūñgā us se maiñ ik din yahī haqīqat hai
vo chāñd jis ne banāyā hai mujh ko dīvāna
vo chand jis ne mujhe kar diyā hai begāna
maiñ apne chāñd pe ye apnī jaan vāruñgā
falak se ek na ik din use utārūñgā
jahān-e-'ishq meñ ye 'umr sarfarāz rahe
vo mere dil meñ hamesha ba-husn-o-nāz rahe
vo merī pahlī mohabbat mirī masarrat hai
awadh mein chand jo rahta hai KHub-surat hai
KHuda ka shukr hai ab tak sahi-salamat hai
usi ke nam se mansub zindagi hai meri
usi ki KHushiyon mein poshida har KHushi hai meri
usi se milne ke KHatir main ji raha hun abhi
gham-e-firaq ka ye zahr pi raha hun abhi
wahi hai mera qasida wahi hai meri ghazal
main us ko pyar se kahta hun zindagi ka kanwal
wo mujh se dur hai phir bhi meri zarurat hai
jo zaKHm main ne mohabbat ke badle paya hai
yahi hai 'ishq ka hasil yahi kamaya hai
wafa KHulus murawwat nibhae jaunga
hamesha git mohabbat ke gungunaunga
wo chand hai to mera dard bhi to samjhega
wo mere dil kisi din zarur utrega
milunga us se main ek din yahi haqiqat hai
wo chand jis ne banaya hai mujh ko diwana
wo chand jis ne mujhe kar diya hai begana
main apne chand pe ye apni jaan warunga
falak se ek na ek din use utarunga
jahan-e-'ishq mein ye 'umr sarfaraaz rahe
wo mere dil mein hamesha ba-husn-o-naz rahe
wo meri pahli mohabbat meri masarrat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.