azm
yaad ne apne pañkh phir se khol liye
ek na.ī uḌaan ke liye
duur bahut duur
falak ke us kone par
jahāñ ek aisī bastī hai
jis kī fazā meñ anginat
rangīn nazāre bikhre
hue haiñ
jin ko sirf chhū ke
ruuh un bulandiyoñ kā
safar tai kartī hai
jis kī aas mujhe bhī hai
aur tumheñ bhī
aao mere saath
maiñ tumheñ
vo sargoshiyāñ sunā.ūñ
kabhī tum ne mere kānoñ meñ
bahut dhīre aur
bahut dhīre se kī thiiñ
maiñ ne jinheñ
bahut sañbhāl rakkhā hai
aur un tamām lamhoñ ko
sīnoñ meñ qaid karke
samundar ke ḳhūbsūrat
nīlgūñ paanī kī
thaah maiñ chhupā diyā hai
taaki koī bhī aañkh
chhū na sake
aur mujh se chhīn kar
na le jā sake
tum bhī nahīñ
aisā phir nahīñ hogā
kyūñki
ab maiñ aisā
hone nahīñ dūñgā
yaad ne apne pankh phir se khol liye
ek nai uDan ke liye
dur bahut dur
falak ke us kone par
jahan ek aisi basti hai
jis ki faza mein anginat
rangin nazare bikhre
hue hain
jin ko sirf chhu ke
ruh un bulandiyon ka
safar tai karti hai
jis ki aas mujhe bhi hai
aur tumhein bhi
aao mere sath
main tumhein
wo sargoshiyan sunaun
kabhi tum ne mere kanon mein
bahut dhire aur
bahut dhire se ki thin
main ne jinhen
bahut sanbhaal rakkha hai
aur un tamam lamhon ko
sinon mein qaid karke
samundar ke KHubsurat
nilgun pani ki
thah main chhupa diya hai
taki koi bhi aankh
chhu na sake
aur mujh se chhin kar
na le ja sake
tum bhi nahin
aisa phir nahin hoga
kyunki
ab main aisa
hone nahin dunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.