aansu ki chilman ke pichhe
hañsī rukī
to phir se maaoñ
panjoñ ke bal chaltī chaltī
baazū ke resham pe phisaltī
gardan kī ghāTī se ho kar
kaan kī dīvāroñ par chaḌhtī
indr ke dālān meñ kuudī
aur badan
ik sāġhar sā bīmār badan
saare kā saarā
hañsī kī chaḌhtī nadī kī
āfāt bharī lazzat ke andar
jhaTke khātā chīḳh uThā
bas abbū
roko us maaoñ ko abbū
aage mat aa.e
ye maaoñ
aur abbū ne
rok diyā apnī uñglī ko
aur billī
ik jast lagā kar
abbū ke siine meñ utrī
aur phir
us ke tan kī lambī shiryānoñ meñ
panjoñ ke bal chaltī chaltī
us kī aañkh meñ aa pahuñchī hai
ghaaT lagā kar
aañsū kī chilman ke pīchhe
baiTh ga.ī hai
hansi ruki
to phir se maon
panjon ke bal chalti chalti
bazu ke resham pe phisalti
gardan ki ghaTi se ho kar
kan ki diwaron par chaDhti
indr ke dalan mein kudi
aur badan
ek saghar sa bimar badan
sare ka sara
hansi ki chaDhti nadi ki
aafat bhari lazzat ke andar
jhaTke khata chiKH uTha
bas abbu
roko us maon ko abbu
aage mat aae
ye maon
aur abbu ne
rok diya apni ungli ko
aur billi
ek jast laga kar
abbu ke sine mein utri
aur phir
us ke tan ki lambi shiryanon mein
panjon ke bal chalti chalti
us ki aankh mein aa pahunchi hai
ghaT laga kar
aansu ki chilman ke pichhe
baiTh gai hai
- Book : TASTEER (Pg. 111)
- Author : Nasiir Ahmed Nasir
- Publication : Room No.1, 1st Floor, Awaan Plaza, Shadmaan Market, Lahore (Issue No. 3 October/December. 1997)
- Edition : Issue No. 3 October/December. 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.