ba-yaad-e-jigar
har taraf thī tirī pukār jigar
har jagah thā tū naġhma-bār jigar
umr bhar to tujhe qarār na thā
āḳhirash aa gayā qarār jigar
suunī suunī sī hai har ik mahfil
ujḌī ujḌī sī hai bahār jigar
jab mohabbat kā zikr aa.egā
aa.egā yaad bār-bār jigar
rashk karte the phuul gulshan meñ
tujh ko kāñToñ se thā vo pyaar jigar
shā.erī tujh pe naaz kartī thī
aur tū us pe thā nisār jigar
be-ḳhudī tujh ko zeb detī thī
thā ḳhudī kā tū rāzdār jigar
har adā terī ehtirām-talab
har ġhazal terī shāhkār jigar
tujh se sher-o-adab kī azmat thī
har jagah tū thā bā-vaqār jigar
shaġhl-e-mai bhī tirā misālī thā
azm-e-tauba bhī yādgār jigar
kis ko rote haiñ jām-o-paimāna
allah allah tirā vaqār jigar
allah allāh terī haq-goī
tujh pe rahmat hazār baar jigar
tere dil meñ thā vo ġham-e-insāñ
jis kī har samt hai pukār jigar
har dukhī dil kī tarjumānī kī
thā sabhī kā tū ġham-gusār jigar
nasl-o-qaum-o-vatan ke hangāme
the bahut tujh ko nāgavār jigar
tere paiġhām tak na pahuñche jo
vo siyāsat hai ḳhām-kār jigar
chhū ga.e the jinheñ qadam tere
rāste haiñ vo yādgār jigar
sho.ala-e-tūr ātish-e-gul haiñ
laakh firdaus darkinār jigar
allah allah vo azm-e-haj terā
rahmat-e-haq se ham-kanār jigar
aur vo na.at-e-pur-ḳhulūs tirī
vo tirī ruuh kī pukār 'jigar'
sharm-e-isyāñ dil-e-tapīda par
vo bharosa vo inhisār jigar
vo latāfat ki dīda-o-dil kā
gosha gosha hai pur-bahār jigar
vo jagah bhī hai pyaar ke qābil
jis jagah hai tirā mazār jigar
bhuul saktā nahīñ tujhe koī
yuuñ to shā.ir haiñ be-shumār jigar
har taraf thi teri pukar jigar
har jagah tha tu naghma-bar jigar
umr bhar to tujhe qarar na tha
aaKHirash aa gaya qarar jigar
suni suni si hai har ek mahfil
ujDi ujDi si hai bahaar jigar
jab mohabbat ka zikr aaega
aaega yaad bar-bar jigar
rashk karte the phul gulshan mein
tujh ko kanTon se tha wo pyar jigar
shaeri tujh pe naz karti thi
aur tu us pe tha nisar jigar
be-KHudi tujh ko zeb deti thi
tha KHudi ka tu raazdar jigar
har ada teri ehtiram-talab
har ghazal teri shahkar jigar
tujh se sher-o-adab ki azmat thi
har jagah tu tha ba-waqar jigar
shaghl-e-mai bhi tera misali tha
azm-e-tauba bhi yaadgar jigar
kis ko rote hain jam-o-paimana
allah allah tera waqar jigar
allah allah teri haq-goi
tujh pe rahmat hazar bar jigar
tere dil mein tha wo gham-e-insan
jis ki har samt hai pukar jigar
har dukhi dil ki tarjumani ki
tha sabhi ka tu gham-gusar jigar
nasl-o-qaum-o-watan ke hangame
the bahut tujh ko nagawar jigar
tere paigham tak na pahunche jo
wo siyasat hai KHam-kar jigar
chhu gae the jinhen qadam tere
raste hain wo yaadgar jigar
shoala-e-tur aatish-e-gul hain
lakh firdaus darkinar jigar
allah allah wo azm-e-haj tera
rahmat-e-haq se ham-kanar jigar
aur wo nat-e-pur-KHulus teri
wo teri ruh ki pukar 'jigar'
sharm-e-isyan dil-e-tapida par
wo bharosa wo inhisar jigar
wo latafat ki dida-o-dil ka
gosha gosha hai pur-bahaar jigar
wo jagah bhi hai pyar ke qabil
jis jagah hai tera mazar jigar
bhul sakta nahin tujhe koi
yun to shair hain be-shumar jigar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.