ba-zahir baDa pur-sukun lag raha tha
ba-zāhir baḌā pur-sukūñ lag rahā thā
magar jab maiñ utrā samundar ke andar
kisī jal-parī kī vilādat thī shāyad
diyā jal rahā thā samundar ke andar
añdheroñ se gahre añdheroñ se aage
koī dar khulā thā samundar ke andar
jise sāhiloñ par nahīñ mil sakā vo
use kyā milegā samundar ke andar
ye motī kināre pe milte nahīñ haiñ
utarnā paḌegā samundar ke andar
samā.at to kyā jism-o-jāñ se guzartā
sunā apnā naġhma samundar ke andar
sitāroñ se bāteñ kiye jā rahe ho
kabhī tum ne dekhā samundar ke andar
kahīñ se guzar kar kahīñ se bhī guzre
pahuñchtā hai dariyā samundar ke andar
tumheñ malika machhlī se milvā.ūñgā maiñ
kisī din chalo nā samundar ke andar
ba-zahir baDa pur-sukun lag raha tha
magar jab main utra samundar ke andar
kisi jal-pari ki wiladat thi shayad
diya jal raha tha samundar ke andar
andheron se gahre andheron se aage
koi dar khula tha samundar ke andar
jise sahilon par nahin mil saka wo
use kya milega samundar ke andar
ye moti kinare pe milte nahin hain
utarna paDega samundar ke andar
samaat to kya jism-o-jaan se guzarta
suna apna naghma samundar ke andar
sitaron se baaten kiye ja rahe ho
kabhi tum ne dekha samundar ke andar
kahin se guzar kar kahin se bhi guzre
pahunchta hai dariya samundar ke andar
tumhein malika machhli se milwaunga main
kisi din chalo na samundar ke andar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.