babul
mire lahū meñ diye jis ke ḳhuuñ ke jalte haiñ
nuqūsh jis ke mire ḳhāl-o-ḳhad meñ Dhalte haiñ
mahak se jis kī gul-o-lāla mujh meñ khilte haiñ
mirī hañsī meñ sabhī rañg us ke milte haiñ
vo jis ne maan diye sab sharāratoñ ke mujhe
javāb jis ne diye sab bujhāratoñ ke mujhe
qarīne jis ne sikhā.e jasāratoñ ke mujhe
diye muāfī lahū kī harārtoñ ke mujhe
vo jis ke sajdoñ kī tāsīr zindagī merī
hai ujlī jis kī duāoñ se har ḳhushī merī
usī kā nuur hai āñkhoñ kī raushnī merī
usī ke dam se hī qaa.em hai ye chāñdnī merī
vo jis kī thaam ke uñglī ko chalnā sīkhā thā
qalam se us ke hī maiñ ne ye likhnā sīkhā thā
vo jis ne paḌhnā mujhe harf harf batlāyā
vo jis ne chaḌhnā mujhe ziina ziina sikhlāyā
vo jis kī baat kā darja thā ik qasam kī tarah
vo jis jabīñ pe lagīñ bal mujhe karam kī tarah
vo jis ke ghar kī hai chaukhaT mujhe haram kī tarah
judā.ī jis kī hai paiham mujhe alam kī tarah
usī ke rañg meñ jazbe haiñ sab nahā.e hue
ki shafqatoñ kā alam jaañ mirī uThā.e hue
ye merā ilm-o-hunar sar ko hai jhukā.e hue
haiñ jis ke dam se sabhī harf jagmagā.e hue
mire kalām meñ bābul vo isti.āra hai
mujhe 'sadaf' jo mirī zindagī se pyārā hai
mere lahu mein diye jis ke KHun ke jalte hain
nuqush jis ke mere KHal-o-KHad mein Dhalte hain
mahak se jis ki gul-o-lala mujh mein khilte hain
meri hansi mein sabhi rang us ke milte hain
wo jis ne man diye sab shararaton ke mujhe
jawab jis ne diye sab bujhaaraton ke mujhe
qarine jis ne sikhae jasaraton ke mujhe
diye muafi lahu ki hararton ke mujhe
wo jis ke sajdon ki tasir zindagi meri
hai ujli jis ki duaon se har KHushi meri
usi ka nur hai aankhon ki raushni meri
usi ke dam se hi qaem hai ye chandni meri
wo jis ki tham ke ungli ko chalna sikha tha
qalam se us ke hi main ne ye likhna sikha tha
wo jis ne paDhna mujhe harf harf batlaya
wo jis ne chaDhna mujhe zina zina sikhlaya
wo jis ki baat ka darja tha ek qasam ki tarah
wo jis jabin pe lagin bal mujhe karam ki tarah
wo jis ke ghar ki hai chaukhaT mujhe haram ki tarah
judai jis ki hai paiham mujhe alam ki tarah
usi ke rang mein jazbe hain sab nahae hue
ki shafqaton ka alam jaan meri uThae hue
ye mera ilm-o-hunar sar ko hai jhukae hue
hain jis ke dam se sabhi harf jagmagae hue
mere kalam mein babul wo istiara hai
mujhe 'sadaf' jo meri zindagi se pyara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.