baadban
samundaroñ kī nīl-gūñ fazā-e-āb meñ bhī raqs kar chukā huuñ bār-hā
mire liye koī ufuq ye āsmāñ kī vus.ateñ bhī ajnabī nahīñ
maiñ in meñ saikḌoñ, hazāroñ zindagī ke giit ātishīñ dhunoñ meñ gā chukā
kisī ko DhūñD hī rahā thaa, kaun jaane kis ko DhūñDhtā thā maiñ
hazār baar DhūñDhtā rahā huuñ jis ko mausamoñ ke madd-o-jazr meñ magar na pā sakā
sitāre Dūbne lage aur āñdhiyoñ kī shiddateñ habāb ban ke rah ga.iiñ
kisī ko DhūñD hī rahā thā maiñ sahar kī narm narm shabnamīñ fazāoñ meñ
ki aap aa ga.īñ, aur aa ke chhā ga.iiñ samundar aur āsmāñ kī be-karāñ ḳhalāoñ meñ
hazāroñ dāstāneñ bahr-e-nīlgūñ kī chashm-e-nāz meñ liye hue
hazāroñ mahr-o-māh kī tajalliyoñ kā jism ā.īna banā huā
maiñ soch hī rahā thaa, lahreñ nabz-e-kā.enāt to nahīñ
ki ek lahr uTThī jis kī barhamī ke sāmne mirī tamām quvvateñ habāb ban ke rah ga.iiñ
kanār-e-āb ek pal maiñ dekhte hī dekhte maiñ phir paḌā huā thā ret par
mire badan kī ret kā har ek zarra ek ā.īna thā
aur jaane kitne āftāb jagmagā rahe the mere jism par
hazār maiñ gunāhgār huuñ to kyā
ye merā jism ḳhāk-o-ḳhūñ kā imtizāj hī sahī
hazār maiñ gunāh-gār huuñ to kyā
ye zalzale ye āñdhiyāñ ye barq o ātish o sharar mire mizāj hī sahī
magar sukūn pā ke jab bhī shādmāñ huā huuñ
gungunā uThā huuñ muskurā diyā huuñ
mire is āhanī mahal ke āstāñ pe āsmāñ kī jannateñ bhī sajda-rez ho ga.iiñ
agar nahīñ haiñ nāriyal ke saa.e sat.h-e-āb par to kyā huā
magar bahut hī duur aa chuke haiñ sāhiloñ ko chhoḌ kar
uThāo lañgar aur bādbān khol do
havā.eñ tez haiñ to kyā ye lahreñ sho.ala-rez haiñ to kyā
uThāo lañgar aur bādbān khol do
maiñ jāntā huuñ ḳhuub jāntā huuñ ek kā.enāt aur bhī hai
māvarā-e-kā.enāt
baras rahā hai amrit āsmāñ se chāñdnī ke ruup meñ
zamīñ zamīñ kī kā.enāt ke liye numū hai dhuup meñ
magar ye barg ye samar ye gulsitāñ baġhair rañg ke to kuchh nahīñ
sitāre Dūbne lage to kyā
ye lahreñ sho.ala-rez haiñ to kyā
uTho aur uTh ke kashtiyoñ ke bādbān khol do
ye kaun kahtā hai ki lahroñ kā ḳhudā koī nahīñ
ye lahreñ ḳhuub jāntī haiñ sāhiloñ kā rāsta
samundaron ki nil-gun faza-e-ab mein bhi raqs kar chuka hun bar-ha
mere liye koi ufuq ye aasman ki wusaten bhi ajnabi nahin
main in mein saikDon, hazaron zindagi ke git aatishin dhunon mein ga chuka
kisi ko DhunD hi raha tha, kaun jaane kis ko DhunDhta tha main
hazar bar DhunDhta raha hun jis ko mausamon ke madd-o-jazr mein magar na pa saka
sitare Dubne lage aur aandhiyon ki shiddaten habab ban ke rah gain
kisi ko DhunD hi raha tha main sahar ki narm narm shabnamin fazaon mein
ki aap aa gain, aur aa ke chha gain samundar aur aasman ki be-karan KHalaon mein
hazaron dastanen bahr-e-nilgun ki chashm-e-naz mein liye hue
hazaron mahr-o-mah ki tajalliyon ka jism aaina bana hua
main soch hi raha tha, lahren nabz-e-kaenat to nahin
ki ek lahr uTThi jis ki barhami ke samne meri tamam quwwaten habab ban ke rah gain
kanar-e-ab ek pal main dekhte hi dekhte main phir paDa hua tha ret par
mere badan ki ret ka har ek zarra ek aaina tha
aur jaane kitne aaftab jagmaga rahe the mere jism par
hazar main gunahgar hun to kya
ye mera jism KHak-o-KHun ka imtizaj hi sahi
hazar main gunah-gar hun to kya
ye zalzale ye aandhiyan ye barq o aatish o sharar mere mizaj hi sahi
magar sukun pa ke jab bhi shadman hua hun
gunguna uTha hun muskura diya hun
mere is aahani mahal ke aastan pe aasman ki jannaten bhi sajda-rez ho gain
agar nahin hain nariyal ke sae sath-e-ab par to kya hua
magar bahut hi dur aa chuke hain sahilon ko chhoD kar
uThao langar aur baadban khol do
hawaen tez hain to kya ye lahren shoala-rez hain to kya
uThao langar aur baadban khol do
main jaanta hun KHub jaanta hun ek kaenat aur bhi hai
mawara-e-kaenat
baras raha hai amrit aasman se chandni ke rup mein
zamin zamin ki kaenat ke liye numu hai dhup mein
magar ye barg ye samar ye gulsitan baghair rang ke to kuchh nahin
sitare Dubne lage to kya
ye lahren shoala-rez hain to kya
uTho aur uTh ke kashtiyon ke baadban khol do
ye kaun kahta hai ki lahron ka KHuda koi nahin
ye lahren KHub jaanti hain sahilon ka rasta
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 143)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.