baadshah nanga hai
bādshāh hāthī ke paañv ke nīche
achānak nahīñ aaya thā
magar darbāriyoñ ne faisla kiyā
ki kal jo shaḳhs sab se pahle
shahr meñ dāḳhil hogā
bādshāhat use sauñp dī jā.egī
agle din hāthī ne
chupke se ek baune ko
shahr ke sadr darvāze par
apnī piiTh se utārā
aur ba-zāhir ġhā.eb ho gayā
baunā shahr meñ dāḳhil huā
to ahl-e-darbār ne use hāthoñ haath liyā
aur apne faisle se āgāh kiyā
baune ne hairat se sar uThā kar unheñ dekhā
to us kī Topī zamīn par gir ga.ī
ye dekh kar musāhibīn be-sāḳhta hañs diye
baunā khisyāna ho gayā
magar ahālī mavālī fauran hī ādāb bajā laa.e
aur taḳht par baiThne kī darḳhvāst kī
baune ne kahā
vo sirf is shart par hukmrāñ banegā
ki sab log us ke ham-qadr ho jaa.eñ
maslahat kī daldal meñ phañse
mafādāt kī Dor meñ bañdhe
un 'āqibat-nā-andesh ne
baune kī ye baat maan lī
is martaba baune ne faḳhr se
sar uThā kar dekhā
to na us kī Topī nīche girī
aur na hī ahl-e-darbār hañse
baadshah hathi ke panw ke niche
achanak nahin aaya tha
magar darbariyon ne faisla kiya
ki kal jo shaKHs sab se pahle
shahr mein daKHil hoga
baadshahat use saunp di jaegi
agle din hathi ne
chupke se ek baune ko
shahr ke sadr darwaze par
apni piTh se utara
aur ba-zahir ghaeb ho gaya
bauna shahr mein daKHil hua
to ahl-e-darbar ne use hathon hath liya
aur apne faisle se aagah kiya
baune ne hairat se sar uTha kar unhen dekha
to us ki Topi zamin par gir gai
ye dekh kar musahibin be-saKHta hans diye
bauna khisyana ho gaya
magar ahaali mawali fauran hi aadab baja lae
aur taKHt par baiThne ki darKHwast ki
baune ne kaha
wo sirf is shart par hukmran banega
ki sab log us ke ham-qadr ho jaen
maslahat ki daldal mein phanse
mafadat ki Dor mein bandhe
un 'aqibat-na-andesh ne
baune ki ye baat man li
is martaba baune ne faKHr se
sar uTha kar dekha
to na us ki Topi niche giri
aur na hi ahl-e-darbar hanse
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.