baghon mein aaegi kab bahaar
nauhe likhte likhte ye dil thak jaatā hai
bikhre hue haiñ sab dil vaale
ham matvāle tanhā haiñ
raushniyoñ ke beTe tārīkī meñ aa kar chamkeñ
ham rāhoñ meñ tayyār mileñge
jo yalġhār yahāñ bhī hogī
ham apne ḳhuuñ ke favvāroñ ko aam kareñge
ek charāġhāñ kūcha-e-rusvā.ī meñ
ik bālā-e-bām kareñge
un rozoñ meñ ye dil thak kar so bhī chuke to
ham ḳhush hoñge
bādal ke takiye pe bahut ārām kareñge
nauhe likhte likhte ye dil thak jata hai
bikhre hue hain sab dil wale
hum matwale tanha hain
raushniyon ke beTe tariki mein aa kar chamken
hum rahon mein tayyar milenge
jo yalghaar yahan bhi hogi
hum apne KHun ke fawwaron ko aam karenge
ek charaghan kucha-e-ruswai mein
ek baala-e-baam karenge
un rozon mein ye dil thak kar so bhi chuke to
hum KHush honge
baadal ke takiye pe bahut aaram karenge
- Book : naquush (Pg. 284)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.