Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahami ittihad

MORE BYMohammad Shafiuddin Nayyar

    kahne ko to yuuñ kah dete haiñ bhārat ko agar gaaḌī kahiye

    to hindū aur musalmāñ haiñ is gaaḌī ke do pahiye

    mādar-e-hind āñkhoñ ke hindū muslim do taare haiñ

    ho jaa.eñ agar ye shīr-o-shakar phir kyā vāre-nyāre haiñ

    jab baat ye hai to kyoñ donoñ ik ik ko girānā chāhte haiñ

    kyoñ qasr-e-qaumiyyat binā ye donoñ Dhānā chāhte haiñ

    gaaḌī jo chalānā chāhte ho pahiya koī nā-hamvār na ho

    gar diid lutf uThānā hai to aañkh koī be-kār na ho

    kyā hamsāyoñ se laḌ paḌnā qur.ān sharīf meñ aaya hai

    kyā hamsāyoñ se shar karnā vedoñ ne kahīñ batlāyā hai

    phir nāhaq kyoñ apnī quvvat ko ham din-rāt gañvāte haiñ

    ḳhud laḌte haiñ dukh bharte haiñ jo ġhair haiñ un ko hañsāte haiñ

    yuuñ aapas meñ laḌte laḌte kyā jāniye kyā ho jā.eñge

    ik din aisā aa jā.egā ham donoñ fanā ho jā.eñge

    achchhā ye baat batā.e koī ab tak laḌ kar kyā paayā hai

    in roz ke qissoñ jhagḌoñ se kyā haath hamāre aaya hai

    is aapas laḌā.ī se iflās se ham do-chār hue

    is aapas laḌā.ī se ham aise zalīl-o-ḳhvār hue

    ho merī tamanna par 'nayyar' qudrat taraf se saad kahīñ

    is mulk har-har bāshinda ho fikroñ se āzād kahīñ

    kahne ko to yun kah dete hain bhaarat ko agar gaDi kahiye

    to hindu aur musalman hain is gaDi hi ke do pahiye

    ya madar-e-hind ki aankhon ke hindu muslim do tare hain

    ho jaen agar ye shir-o-shakar phir kya hi ware-nyare hain

    jab baat ye hai to kyon donon ek ek ko girana chahte hain

    kyon qasr-e-qaumiyyat ki bina ye donon Dhana chahte hain

    gaDi jo chalana chahte ho pahiya koi na-hamwar na ho

    gar did ka lutf uThana hai to aankh koi be-kar na ho

    kya hamsayon se laD paDna quran sharif mein aaya hai

    kya hamsayon se shar karna wedon ne kahin batlaya hai

    phir nahaq kyon apni quwwat ko hum din-raat ganwate hain

    KHud laDte hain dukh bharte hain jo ghair hain un ko hansate hain

    yun aapas mein laDte laDte kya jaaniye kya ho jaenge

    ek din aisa aa jaega hum donon fana ho jaenge

    achchha ye baat batae koi ab tak laD kar kya paya hai

    in roz ke qisson jhagDon se kya hath hamare aaya hai

    is aapas hi ki laDai se iflas se hum do-chaar hue

    is aapas hi ki laDai se hum aise zalil-o-KHwar hue

    ho meri tamanna par 'nayyar' qudrat ki taraf se sad kahin

    is mulk ka har-har bashinda ho fikron se aazad kahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now