barish aur baadal
kal shaam mujhe bārish milī
baaġh meñ rotī huī
us kī siskiyāñ daraḳhtoñ kī
shāḳhoñ par aTkī thiiñ
vo bādal kā ghar chhoḌ aa.ī thī
maiñ ne use ta.assuf se dekhā
raat ko mere kamre kī khiḌkī par
bikhre bāloñ vaale
pareshān bādal ne dastak dī
vo chāñdnī kā ek TukḌā
haath meñ le kar
bārish ko DhūñD rahā thā
maiñ ne khiḌkī pe bahte
bārish ke āñsuoñ kī samt ishāra kiyā
mohabbat ke āsmān par bichhaḌne vāloñ ko
zamīn bhī panāh nahīñ detī
is liye haath chhuḌāne se pahle
ye baat dhyān meñ rakhnā
mohabbat meñ judā.ī dā.imī hotī hai
kal sham mujhe barish mili
bagh mein roti hui
us ki siskiyan daraKHton ki
shaKHon par aTki thin
wo baadal ka ghar chhoD aai thi
main ne use tassuf se dekha
raat ko mere kamre ki khiDki par
bikhre baalon wale
pareshan baadal ne dastak di
wo chandni ka ek TukDa
hath mein le kar
barish ko DhunD raha tha
main ne khiDki pe bahte
barish ke aansuon ki samt ishaara kiya
mohabbat ke aasman par bichhaDne walon ko
zamin bhi panah nahin deti
is liye hath chhuDane se pahle
ye baat dhyan mein rakhna
mohabbat mein judai daimi hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.