baat phansi ke din ki nahin
oxygen kī tube
aur phāñsī ke phande meñ vaise bhī kyā farq hai
baat phāñsī yā phāñsī ke din kī nahīñ
maut kī bhī nahīñ
baat to laash ke mazhaka-ḳhez lagne kī hai
fikr lāshe kī hai
jaane kaisī lage?
ek fuT lambī patlī sī gardan
mire itne bhārī badan par
aur zabāñ?
vo jo sunte haiñ itnī nikal aa.egī muñh ke bāhar
kālī-mā.ī kī sūrat
kahīñ vo Darā to nahīñ degī bachchoñ ko mere
aur vo sab nek insān jo ġhusl deñge mire jism ko
so bhī pā.eñge kyā chain se?
yā mirā bhuut un ko Darātā rahegā mahīnoñ talak
maiñ nahīñ chāhtā koī mujh se Dare
koī mujh par hañse
zindagī ik latīfe kī sūrat kaTī kuchh shikāyat nahīñ
haañ magar
laash kī shakl meñ maz.haka-ḳhez lagne se Dartā huuñ maiñ
baat itnī sī hai
baat phāñsī yā phāñsī ke din kī nahīñ
oxygen ki tube
aur phansi ke phande mein waise bhi kya farq hai
baat phansi ya phansi ke din ki nahin
maut ki bhi nahin
baat to lash ke mazhaka-KHez lagne ki hai
fikr lashe ki hai
jaane kaisi lage?
ek fuT lambi patli si gardan
mere itne bhaari badan par
aur zaban?
wo jo sunte hain itni nikal aaegi munh ke bahar
kali-mai ki surat
kahin wo Dara to nahin degi bachchon ko mere
aur wo sab nek insan jo ghusl denge mere jism ko
so bhi paenge kya chain se?
ya mera bhut un ko Daraata rahega mahinon talak
main nahin chahta koi mujh se Dare
koi mujh par hanse
zindagi ek latife ki surat kaTi kuchh shikayat nahin
han magar
lash ki shakl mein mazhaka-KHez lagne se Darta hun main
baat itni si hai
baat phansi ya phansi ke din ki nahin
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 151)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.