bol ai shā.ir ai naġhma-gar
bechegā fan ko bechegā
bol apne man ko bechegā
apne shah-pāre bechegā apnī tahrīreñ bechegā
ye apnī barahna-guftārī ye shola-bayānī bechegā
ya.anī jo tire lafzoñ meñ hai ḳhanjar kī ravānī bechegā
Dhaltā hai jo tere ḳhvāboñ meñ vo rang-e-bahārāñ bechegā
paltā hai jo tere siine meñ vo ḳhūnīñ tūfāñ bechegā
jo parda-e-mustaqbil meñ haiñ kyā vo tanvīreñ bechegā
jin insānoñ ko jagātā hai un kī taqdīreñ bechegā
fan kī tāsīr ko bechegā
bechegā zamīr ko bechegā
bol ai shā.ir ai naġhma-gar
bechegā
ham nukta-dān-e-fikr-o-nazar
ham qadr-shanās-e-ilm-o-hunar
terī ḳhidmat kā sila deñge terī mehnat kā samar deñge
jīvan kī rātoñ meñ zar-kār ujālā kar deñge
chāñdī ke khanakte sikkoñ se ham terī jebeñ bhar deñge
bol ai shā.ir kyā kahtā hai
tū kis duniyā meñ rahtā hai
ai naġhma-gar
in sūkhe hāthoñ se fan kā aivān sajā.egā kyūñkar
fāqoñ ke añdhere meñ rah kar shah-kār banā.egā kyūñkar
iflās ke aalam meñ kyūñ-kar tū rangīñ ġhazleñ likkhegā
roTī ko tarastā rahtā hai kyā khā kar nazmeñ likhegā
jiinā ho jo is duniyā meñ to phir bāzār meñ aa dūkān lagā
kuchh dām-o-diram kī bāteñ kar bikne vaalā sāmān sajā
haañ bech de apnī jur.at ko aa jā.egī chehre par surḳhī
haañ bech qalam kī tāqat ko varna ye tujhe le Dūbegī
is ek qalam kā zikr hī kyā insān ḳharīde haiñ ham ne
maz.hab ke daam chukā.e haiñ īmān ḳharīde haiñ ham ne
har shai nīlām pe chaḌhtī hai vo dhartī ho yā auj-e-falak
har chiiz yahāñ bik jaatī hai miTTī se le kar mulk talak
lā tū bhī apnā maal dikhā dekheñ tire palle meñ kyā hai
kuchh ḳhuddārī kuchh bebākī kuchh haq-goī ḳhair achchhā hai
jaldī se ye sab kuchh bech bhī de daam in kā girne vaalā hai
phir koī na in ko pūchhegā
hai vaqt abhī kar ke saudā bech aune-paune ye kuuḌā
mauqa hai yahī raushan kar le mustaqbil apne bachchoñ kā
ai ahmaq insāñ hosh meñ aa kuchh aql-o-ḳhirad kī bāteñ kar
be-faiz na apnī mehnat kar be-kār na apnī rāteñ kar
kuchh dhokā de kuchh ghāteñ kar
ai naġhma-gar
bechegā
bechegā ḳhud ko bechegā
ham tere ḳharīdār aa.e haiñ
bol apnī qīmat kyā legā
bol ai shair ai naghma-gar
bechega fan ko bechega
bol apne man ko bechega
apne shah-pare bechega apni tahriren bechega
ye apni barahna-guftari ye shola-bayani bechega
yani jo tere lafzon mein hai KHanjar ki rawani bechega
Dhalta hai jo tere KHwabon mein wo rang-e-bahaaran bechega
palta hai jo tere sine mein wo KHunin tufan bechega
jo parda-e-mustaqbil mein hain kya wo tanwiren bechega
jin insanon ko jagata hai un ki taqdiren bechega
fan ki tasir ko bechega
bechega zamir ko bechega
bol ai shair ai naghma-gar
bechega
hum nukta-dan-e-fikr-o-nazar
hum qadr-shanas-e-ilm-o-hunar
teri KHidmat ka sila denge teri mehnat ka samar denge
jiwan ki raaton mein zar-kar ujala kar denge
chandi ke khanakte sikkon se hum teri jeben bhar denge
bol ai shair kya kahta hai
tu kis duniya mein rahta hai
ai naghma-gar
in sukhe hathon se fan ka aiwan sajaega kyunkar
faqon ke andhere mein rah kar shah-kar banaega kyunkar
iflas ke aalam mein kyun-kar tu rangin ghazlen likkhega
roTi ko tarasta rahta hai kya kha kar nazmen likhega
jina ho jo is duniya mein to phir bazar mein aa dukan laga
kuchh dam-o-diram ki baaten kar bikne wala saman saja
han bech de apni jurat ko aa jaegi chehre par surKHi
han bech qalam ki taqat ko warna ye tujhe le Dubegi
is ek qalam ka zikr hi kya insan KHaride hain hum ne
mazhab ke dam chukae hain iman KHaride hain hum ne
har shai nilam pe chaDhti hai wo dharti ho ya auj-e-falak
har chiz yahan bik jati hai miTTi se le kar mulk talak
la tu bhi apna mal dikha dekhen tere palle mein kya hai
kuchh KHuddari kuchh bebaki kuchh haq-goi KHair achchha hai
jaldi se ye sab kuchh bech bhi de dam in ka girne wala hai
phir koi na in ko puchhega
hai waqt abhi kar ke sauda bech aune-paune ye kuDa
mauqa hai yahi raushan kar le mustaqbil apne bachchon ka
ai ahmaq insan hosh mein aa kuchh aql-o-KHirad ki baaten kar
be-faiz na apni mehnat kar be-kar na apni raaten kar
kuchh dhoka de kuchh ghaten kar
ai naghma-gar
bechega
bechega KHud ko bechega
hum tere KHaridar aae hain
bol apni qimat kya lega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.