bazi jin ke hath rahi
Interesting Fact
On massive earthquake that struck Pakistan in 2005
jitnī der meñ tum ek aahaT se utarte ho
aur saver se apnī palkeñ ikaTThī karte ho
utnī der meñ ek nazm ban chukī hotī hai
nazm jis kī āñkhoñ se lobān kī ḳhushbū aur palkoñ
se nam Tapaktā ho
aur vo apnī pahchān ke liye ḳhud apnā vasīla bane
lekin agar is ke ba.ad ke vasīle zyāda mo'tabar Thahreñ
to hairateñ afsos aur pachhtāve radd-e-duā
jab mohabbateñ insān se kam-tar havāloñ kī muhtāj ho jaa.eñ
to vo sīḌhiyāñ utar jaatī haiñ āsmān nahīñ rahtīñ
zamīn kā havāla mohabbat hai
aur vo jānvar zyāda achchhī tarah nibhā sakte haiñ
bahut qadīm se kiyā kavvoñ ne nahīñ batāyā ki apnā jurm
aur apnī āḳhirat ko miTTī se pardā-posh karo
aur kyā kutte e'tibār kī āḳhirī had nahīñ haiñ
jo kahte haiñ mere mahbūb so jaa! maiñ huuñ nā
maiñ huuñ naa!
zalzaloñ kī ḳhabar dene ke liye
maiñ terī musībat-zada nasl ko kahīñ se bhī DhūñD lā.ūñgā
agar terī mohabbat kī nishāniyāñ un ke hāthoñ kī uñgliyoñ meñ na bhī mileñ
vo tujhe zarūr mil jā.eñge
un ke haath aur baazū tere bhā.ī-bandoñ ne kaaT liye
lekin maiñ apne muñh kā nivālā unheñ de kar hī lauTūñgā
maiñ musībat ke sab dinoñ meñ tere saath huuñ
maiñ sag-e-dar huuñ mirī tujh se sagā.ī hai!
jitni der mein tum ek aahaT se utarte ho
aur sawer se apni palken ikaTThi karte ho
utni der mein ek nazm ban chuki hoti hai
nazm jis ki aankhon se loban ki KHushbu aur palkon
se nam Tapakta ho
aur wo apni pahchan ke liye KHud apna wasila bane
lekin agar is ke baad ke wasile zyaada mo'tabar Thahren
to hairaten afsos aur pachhtawe radd-e-dua
jab mohabbaten insan se kam-tar hawalon ki muhtaj ho jaen
to wo siDhiyan utar jati hain aasman nahin rahtin
zamin ka hawala mohabbat hai
aur wo jaanwar zyaada achchhi tarah nibha sakte hain
bahut qadim se kiya kawwon ne nahin bataya ki apna jurm
aur apni aaKHirat ko miTTi se parda-posh karo
aur kya kutte e'tibar ki aaKHiri had nahin hain
jo kahte hain mere mahbub so ja! main hun na
main hun na!
zalzalon ki KHabar dene ke liye
main teri musibat-zada nasl ko kahin se bhi DhunD launga
agar teri mohabbat ki nishaniyan un ke hathon ki ungliyon mein na bhi milen
wo tujhe zarur mil jaenge
un ke hath aur bazu tere bhai-bandon ne kaT liye
lekin main apne munh ka niwala unhen de kar hi lauTunga
main musibat ke sab dinon mein tere sath hun
main sag-e-dar hun meri tujh se sagai hai!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 540)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.