bazyaft
ham jin ḳhvāboñ ke pīchhe bhāgte haiñ
vo aañkh khulte hī TuuT jaate haiñ
ham jin rāstoñ par chalnā chāhte haiñ
vo raste na jaane kyuuñ ajnabī ban jaate haiñ
hamārī āñkheñ intizār karnā bhuul chukī haiñ
hamāre aañsū ḳhushk ho chuke haiñ
kisī kī yaad ab hameñ satātī nahīñ
ab na koī dard hai
na koī ḳhalish
ham ne kaaT pheñke vo a.azā jo hameñ lahū lahū kar chuke
haañ
apne aap se kuchh bichhaḌne kā kuchh malāl to hai
apne aap par hañsne kā thoḌā ġham bhī hai
jo jhuuT ham ne apnī zaat se bole
un kī chubhan bhī hai
magar us ke sivā ham kyā karte
zindagī ko koī to denā thā
binā kisī sarshārī ke
kyūñki ham jānte haiñ
hamārī mohabbat saḌ chukī hai
hum jin KHwabon ke pichhe bhagte hain
wo aankh khulte hi TuT jate hain
hum jin raston par chalna chahte hain
wo raste na jaane kyun ajnabi ban jate hain
hamari aankhen intizar karna bhul chuki hain
hamare aansu KHushk ho chuke hain
kisi ki yaad ab hamein satati nahin
ab na koi dard hai
na koi KHalish
hum ne kaT phenke wo aaza jo hamein lahu lahu kar chuke
han
apne aap se kuchh bichhaDne ka kuchh malal to hai
apne aap par hansne ka thoDa gham bhi hai
jo jhuT hum ne apni zat se bole
un ki chubhan bhi hai
magar us ke siwa hum kya karte
zindagi ko koi to dena tha
bina kisi sarshaari ke
kyunki hum jaante hain
hamari mohabbat saD chuki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.