bablu ka git school jaane se pahle
Interesting Fact
(With excuse to Moin Ahsan Jazbi)
apne baḌhte hue bāloñ ko kaTā luuñ to chalūñ
ġhusl-ḳhāne meñ zarā dhuum machā luuñ to chalūñ
aur ek cake mazedār sā khā luuñ to chalūñ
abhī chaltā huuñ zarā pyaas bujhā luuñ to chalūñ
raat meñ ik baḌā dilchasp tamāshā dekhā
mujh se mat pūchh mire yaar ki kyā kyā dekhā
Thiik kahte ho madhur sā koī sapnā dekhā
aañkh to mal luuñ zarā hosh meñ aa luuñ to chalūñ
maiñ thakā-hārā thā itne meñ madārī aayā
us ne kuchh paḌh ke mire sar ko zarā sahlāyā
maiñ ne ḳhud ko kisī rangīn mahal meñ paayā
aise do-chār mahal aur banā luuñ to chalūñ
jaane kyā baat hai baajī ko jo hai mujh se jalan
sab se kahtī haiñ ki is lauñDe ke bigḌe haiñ chalan
mujh ko piiTā to mirā ashkoñ se bhīgā dāman
apne bhīge hue dāman ko sukhā luuñ to chalūñ
merī āñkhoñ meñ abhī tak hai sharārat kā ġhurūr
apnī dānā.ī kā ya.anī ki himāqat kā ġhurūr
dost kahte haiñ ise to hai zehānat kā ġhurūr
aise vahmoñ se abhī ḳhud ko nikālūñ to chalūñ
apne baDhte hue baalon ko kaTa lun to chalun
ghusl-KHane mein zara dhum macha lun to chalun
aur ek cake mazedar sa kha lun to chalun
abhi chalta hun zara pyas bujha lun to chalun
raat mein ek baDa dilchasp tamasha dekha
mujh se mat puchh mere yar ki kya kya dekha
Thik kahte ho madhur sa koi sapna dekha
aankh to mal lun zara hosh mein aa lun to chalun
main thaka-haara tha itne mein madari aaya
us ne kuchh paDh ke mere sar ko zara sahlaya
main ne KHud ko kisi rangin mahal mein paya
aise do-chaar mahal aur bana lun to chalun
jaane kya baat hai baji ko jo hai mujh se jalan
sab se kahti hain ki is launDe ke bigDe hain chalan
mujh ko piTa to mera ashkon se bhiga daman
apne bhige hue daman ko sukha lun to chalun
meri aankhon mein abhi tak hai shararat ka ghurur
apni danai ka yani ki himaqat ka ghurur
dost kahte hain ise to hai zehanat ka ghurur
aise wahmon se abhi KHud ko nikalun to chalun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.