bachche ki fariyaad
ai ḳhudā kaash maiñ ḳhudā hotā
aur tū phir mirī jagah hotā
tujh ko kartā maiñ aise ghar paidā
jis kā ghar ho na jis ke bhaa.ī bahan
paidā karte hī tujh ko maiñ tere
raat kī tarah kaale chehre par
gahre chechak ke daaġh phailātā
aur āñkheñ bhī chhīn letā maiñ
log kahte ki koDiyā hai tū
tere hone se chhe baras pahle
baap bhī terā ḳhud-kushī kartā
usī fōt-pāth par usī ghar meñ
aur maañ terī peT kī ḳhātir
bech kar jism apnā galiyoñ meñ
tere aur apne peT ko bhartī
log kahte ki tū hai nā-jā.ez
kyā terā dil nahīñ taḌaptā phir
aur maañ terī ta.ane sun sun kar
tujh ko din-rāt kostī rahtī
paidā hone se kaash pahle hī
mere bachche tū mar gayā hotā
ai ḳhudā kaash maiñ ḳhudā hotā
ai KHuda kash main KHuda hota
aur tu phir meri jagah hota
tujh ko karta main aise ghar paida
jis ka ghar ho na jis ke bhai bahan
paida karte hi tujh ko main tere
raat ki tarah kale chehre par
gahre chechak ke dagh phailata
aur aankhen bhi chhin leta main
log kahte ki koDiya hai tu
tere hone se chhe baras pahle
bap bhi tera KHud-kushi karta
usi foot-path par usi ghar mein
aur man teri peT ki KHatir
bech kar jism apna galiyon mein
tere aur apne peT ko bharti
log kahte ki tu hai na-jaez
kya tera dil nahin taDapta phir
aur man teri tane sun sun kar
tujh ko din-raat kosti rahti
paida hone se kash pahle hi
mere bachche tu mar gaya hota
ai KHuda kash main KHuda hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.