bachchon ka club
ik aisā zamāna guzrā hai jab apnā sahārā koī na thā
mañjhdār meñ apnī kashtī thī mahfūz kinārā koī na thā
sad shukr ke vo din biit ga.e jab kūcha-gardī karte the
ab apne club ke kāmoñ meñ ham vaqt guzārā karte haiñ
tafrīh ke saare kāmoñ meñ jab roḌe sab aTkāte the
jab khel kā naam aa jaatā thā bal tevrī par paḌ jaate the
ab apne saare buzurgoñ ko shīshe meñ utārā karte haiñ
sad shukr ke vo din biit ga.e jab kūcha-gardī karte the
ab apne club ke kāmoñ meñ ham vaqt guzārā karte haiñ
ye library apnī hai ye bank kā kaam hamārā hai
ye reading room hamārā hai ye park hamārā apnā hai
ham apne bigaḌte kāmoñ ko ḳhud aap sañvārā karte haiñ
sad shukr ke vo din biit ga.e jab kūcha-gardī karte the
ab apne club ke kāmoñ meñ ham vaqt guzārā karte haiñ
schōl meñ din bhar paḌh likh kar jab shaam ko ham ghar aate haiñ
phir apne club meñ jaate haiñ aur apnā jī bahlāte haiñ
zehnoñ ko jo shal kar detā hai vo bojh utārā karte haiñ
sad shukr ke vo din biit ga.e jab kūcha-gardī karte the
ab apne club ke kāmoñ meñ ham vaqt guzārā karte haiñ
ek aisa zamana guzra hai jab apna sahaara koi na tha
manjhdar mein apni kashti thi mahfuz kinara koi na tha
sad shukr ke wo din bit gae jab kucha-gardi karte the
ab apne club ke kaamon mein hum waqt guzara karte hain
tafrih ke sare kaamon mein jab roDe sab aTkate the
jab khel ka nam aa jata tha bal tewri par paD jate the
ab apne sare buzurgon ko shishe mein utara karte hain
sad shukr ke wo din bit gae jab kucha-gardi karte the
ab apne club ke kaamon mein hum waqt guzara karte hain
ye library apni hai ye bank ka kaam hamara hai
ye reading room hamara hai ye park hamara apna hai
hum apne bigaDte kaamon ko KHud aap sanwara karte hain
sad shukr ke wo din bit gae jab kucha-gardi karte the
ab apne club ke kaamon mein hum waqt guzara karte hain
school mein din bhar paDh likh kar jab sham ko hum ghar aate hain
phir apne club mein jate hain aur apna ji bahlate hain
zehnon ko jo shal kar deta hai wo bojh utara karte hain
sad shukr ke wo din bit gae jab kucha-gardi karte the
ab apne club ke kaamon mein hum waqt guzara karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.