bachchon ki dua
ye rut ye ma.asūm havā.eñ
aao ham sab mil kar gaa.eñ
prem ke jag meñ danke bajā.eñ
daatā ham sab kī haiñ duā.eñ
aapas meñ kuchh bair na rakhnā
begānoñ ko bhī apnā.eñ
ham sab is qābil ho jaa.eñ
daatā ham sab kī haiñ duā.eñ
sach ke sāthī sach ke pujārī
nekī meñ hī umr gañvā.eñ
paapī manoñ ko raah pe laa.eñ
daatā ham sab kī haiñ duā.eñ
dukhiyāoñ kī sevā karnā
be-āsoñ ko aas dilā.eñ
ham sukh paa.eñ sab sukh paa.eñ
daatā ham sab kī haiñ duā.eñ
mātā-pitā ustād se ulfat
bhārat maatā ke gun gaa.eñ
farz ko apne bhuul na jaa.eñ
daatā ham sab kī haiñ duā.eñ
ye rut ye masum hawaen
aao hum sab mil kar gaen
prem ke jag mein danke bajaen
data hum sab ki hain duaen
aapas mein kuchh bair na rakhna
beganon ko bhi apnaen
hum sab is qabil ho jaen
data hum sab ki hain duaen
sach ke sathi sach ke pujari
neki mein hi umr ganwaen
papi manon ko rah pe laen
data hum sab ki hain duaen
dukhiyaon ki sewa karna
be-ason ko aas dilaen
hum sukh paen sab sukh paen
data hum sab ki hain duaen
mata-pita ustad se ulfat
bhaarat mata ke gun gaen
farz ko apne bhul na jaen
data hum sab ki hain duaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.