bachchon ko waqt dijiye
duniyā ke kām-kāj meñ duniyā tamām ulajh ga.ī
duniyā tamām zar nahīñ thoḌī to fikr kījiye
rishtoñ kī hai kuchh ahmiyat apnoñ kā kuchh maqām hai
saarī vafā.eñ miT ga.iiñ thoḌī to fikr kījiye
bachche haiñ bad-nasīb jo tarse hamāre pyaar ko
bachche hamāre phuul haiñ ham ne jinheñ masal diyā
chehre vo takte rah ga.e apnoñ ke pyaar ke liye
ham ne talāsh-e-qurb ko paañv tale kuchal diyā
badlā zamāna ham ne to pīchhā chhuḌāne ke liye
ilm-o-hunar ke naam par ġhairoñ ke haath de diye
paidā kiyā na apnā-pan naam ke ham haiñ vāldain
māneñ hamārī baat vo socheñ zarā sā kis liye
bachche taraste haiñ hameñ kaise sukūñ mile hameñ
duniyā kī fikr kījiye un kī bhī fikr kījiye
bachche haiñ apne pyaar ke sab se ziyāda mustahiq
pā.egā dil bahut sukūñ bachchoñ ko vaqt dījiye
duniya ke kaam-kaj mein duniya tamam ulajh gai
duniya tamam zar nahin thoDi to fikr kijiye
rishton ki hai kuchh ahmiyat apnon ka kuchh maqam hai
sari wafaen miT gain thoDi to fikr kijiye
bachche hain bad-nasib jo tarse hamare pyar ko
bachche hamare phul hain hum ne jinhen masal diya
chehre wo takte rah gae apnon ke pyar ke liye
hum ne talash-e-qurb ko panw tale kuchal diya
badla zamana hum ne to pichha chhuDane ke liye
ilm-o-hunar ke nam par ghairon ke hath de diye
paida kiya na apna-pan nam ke hum hain waldain
manen hamari baat wo sochen zara sa kis liye
bachche taraste hain hamein kaise sukun mile hamein
duniya ki fikr kijiye un ki bhi fikr kijiye
bachche hain apne pyar ke sab se ziyaada mustahiq
paega dil bahut sukun bachchon ko waqt dijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.