bachpan
bachpan ke dukh kitne achchhe hote the
tab to sirf khilaune TuuTā karte the
vo ḳhushiyāñ bhī jaane kaisī ḳhushiyāñ thiiñ
titlī ke par noch ke nāchā karte the
paañv maar ke ḳhud bārish ke paanī meñ
apnī naav aap Duboyā karte the
chhoTe the to makr-o-fareb bhī chhoTe the
daana Daal ke chiḌiyā pakḌā karte the
apne jal jaane kā bhī ehsās na thā
bhaḌke hue sho.aloñ ko chheḌā karte the
aaj bhī un kī yādeñ niiñd uḌātī haiñ
bachpan meñ jo ham ne sapne dekhe the
ab to ek aañsū rusvā kar jaatā hai
bachpan meñ jī bhar ke royā karte the
bachpan ke dukh kitne achchhe hote the
tab to sirf khilaune TuTa karte the
wo KHushiyan bhi jaane kaisi KHushiyan thin
titli ke par noch ke nacha karte the
panw mar ke KHud barish ke pani mein
apni naw aap Duboya karte the
chhoTe the to makr-o-fareb bhi chhoTe the
dana Dal ke chiDiya pakDa karte the
apne jal jaane ka bhi ehsas na tha
bhaDke hue shoalon ko chheDa karte the
aaj bhi un ki yaaden nind uDati hain
bachpan mein jo hum ne sapne dekhe the
ab to ek aansu ruswa kar jata hai
bachpan mein ji bhar ke roya karte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.